Ro Ke Bibi Ne Kaha Sham Ke Bazar Mein Asghar Khan Lyrics In Urdu
رو کے بی بیؑ نے کہا شام کے بازار مِیں
Zulm Ki Hai Inteha Sham Ke Bazar Mein.
Hosla Deti Thi Zainab Qafila Salar Ko.
Aa Gaya Woh Shehar Kehna Par Gaya Beemar Ko.
Maa Main Zindah Mar Gaya Sham Ke Bazar Mein.
Mera Nana Hai Muhammad Our Zahra Meri Maa.
Sham Ke Hakim Suno Ho Rahi Hai Jo Azaan.
Yeh Hamari Hai Fatha Sham Ke Bazar Mein.
Dekhey Na Jis Ne Muhammad Aaj Aa Ke Dekh Le.
Kehte They Sajjad Mera Haye Akbar Nezay Pe.
Hai Shabih e Mustafa Sham Ke Bazar Mein.
Behan Ka Lasha Uthaye Shamiyon Ke Darmiyaan.
Tum Yahan Pardesiyon Ko Dafan Kartay Ho Kahan.
Poch Kar Roya Bara Sham Ke Bazar Mein.
Nezay Par Quran Parhta Jis Ka Sar Bhai Mera.
Main Bani Hashim Ki Izzat Main Hoon Bint-e-Mustafa.
Aaj Hoon Main Be Rida Sham Ke Bazar Mein.
Barsay Pathar Iss Tarha Zakhmi Har Qaidi Ka Sar.
Dekh Kar :SAJJAD: Roye Mere Maula Nezay Par.
Jo Zulm Haye Howa Sham Ke Bazar Mein.
Poet: :Sajjad Bukhari Sialkot:
Composition: :Asghar Khan:
#ShamKeBazarMein
#NohayLyrics
#tajpoint