Yoon Na Aya Ghazi Ayaz Hussain Zaidi Lyrics In Urdu 2022

Yoon Na Aya Ghazi Ayaz Hussain Zaidi Lyrics In Urdu 2022

Yoon Na Aya Ghazi Ayaz Hussain Zaidi.

Kyun Na Aaya Ghazi?
Youn Na Aaya Ghazi.

Jab Rida Sar Se Chini, Tu Sada Deti Rahi, Youn Na Aaya Ghazi.
Tere Hathoon Mein Rasan, Dekhta Kaisay Behan, Bhai Bekas Tha Tera, Youn Na Aaya Ghazi.

1- Yeh Tujhey Bhi Hai Khabar, Dukhtar-e-Khair Al Bashar, Main Utha Sakta Na Tha, Hukam-e-Shabeer Pe Sar.
Mere Bazu They Juda, Mashk Se Pani Baha, Aa Gayi Mujh Ko Haya, Youn Na Aaya Ghazi.

2- Sun Ke Main Teri Sada, Yeh Tu Mumkin Hi Na Tha, Main Na Aata Kaisay, Dukhtar-e-Shair-e-Khuda.
Be Rida Dekhon Tujhe, Kab Tha Manzoor Mujhe, Hosla Mujh Mein Na Tha, Youn Na Aaya Ghazi.

3- Mera Chalni Tha Badan, Teer They Misal-e-Kafan, Khoon Se Rangeen Tha Ban, Bhai Bekas Tha Behan.
Gurz Tha Sar Pe Laga, Gash Mein Tha Bhai Tera, Tera Shikwa Hai Baja, Youn Na Aaya Ghazi.

4- Jang Main Kar Na Saka, Hukam-e-Shabeer Jo Tha, Tha Sakina Ke Liye, Dam Bhi Honton Pe Ruka.
Mashk Zakhmi Jo Hoi, Ruk Gayi Sans Meri, Phir Qadam Utha Na Saka, Youn Na Aaya Ghazi.

5- Jab Main Ghorey Se Gira, Aayi Amma Ki Sada, Aye Shehanshah-e-Wafa, Aa Meri Gaud Mein Aaya.
Rab Ne Bhaija Tha Jinhein, Dekhta Kaisay Unhein, Khoon Tha Aankhon Mein Jama, Youn Na Aaya Ghazi.

6- Jab Howa Thanda Alam, Amma Zahra Ki Qasam, Kis Tarha Tum Se Kahon, Kaisay Nikla Mera Dam.
Woh Teri Aah-o-Fogaan, Jaltay Khaimon Ka Dhuwaan, Sharam Ne Mar Diya, Youn Na Aaya Ghazi.

7- Yeh Tu Acha Hi Howa, Aankh Mein Teer Laga, Youn Rasan Basta Tujhe, Dekhta Kaisay Bhala.
Munh Dikha Sakta Na Tha, Yeh Alamdar-e-Wafa, Dil Mera Doob Gaya, Youn Na Aaya Ghazi.

8- Tu Ne Jo Zulm Sahey, Kis Tarha Bhai Kahe, Nook-e-Neza Pe Bhi Main, Band Aankhein Tha Kiye.
Sham Tak Sath Gaya, Tere Pathar Jo Laga, Main Bhi Nezay Se Gira, Youn Na Aaya Ghazi.

9- Bhai Ki Tooti Kamar, Dekhey Hashim Ka Qamar, Tere Ghazi Ka Alam, Ho Gaya Khon Mein Tar.
Pyasay Bachoon Ke Liye, Pani Lana Tha Mujhe, Wadah Pora Na Howa, Youn Na Aaya Ghazi.

10- Roya :REHAN: Qalam Kar Ke Yeh Baat Raqam, Khon Mein Doob Gaya, Mere Ghazi Ka Alam.
Sar Jo Zakhmi Tha Mera, Aankh Mein Khoon Tha Bhara, Aa Gayi Mujh Ko Qaza, Youn Na Aaya Ghazi.

Poet: :Rehan Azmi:
Noha Khuwan: :Ayaz Hussain Zaidi:
Noha Volume: :Ayaz Hussain Zaidi 2022-23:
Composition: :Raza Shah:

#YoonNaAyaGhazi
#NohayLyrics
#tajpoint

Yoon Na Aya Ghazi Ayaz Hussain Zaidi

Yoon Na Aya Ghazi Ayaz Hussain Zaidi Lyrics

Yoon Na Aya Ghazi Ayaz Hussain Zaidi Lyrics In Urdu 2022 Write Up Poster Image

Yoon Na Aya Ghazi Ayaz Hussain Zaidi Lyrics In Urdu 2022

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!