Na Khusrawi Ke Liye Hai Na Afsari Ke Liye Mir Hasan Mir Lyrics 2010
Na Khusrawi Ke Liye Hai Na Afsari Ke Liye Mir Hasan Mir.
Zaban Waqf Hai Bas Madh-e-Askari Ke Liye.
Agar Na Milti Unhein Noor-e-Askari Ki Zakat.
Tarastey Chand Sitarey Bhi Roshni Ke Liye.
Giraya Aap Ka Roza Jinhoon Ne Aye Maula.
Shikar Pehla Banein Gay Woh Aakhri Ke Liye.
Imam Phir Se Bulaein Mujhe Bhi Samarra.
Taras Rahi Hai Jabeen Kab Se Bandagi Ke Liye.
Mere Imam Ka Humsar Woh Kaisay Latay Bhala.
Mila Na Jab Koi Qanbar Ki Humsari Ke Liye.
Yeh Bolay Daar Pe Meesum Main Kaisay Ruk Jaon.
Zaban Di Hai Mujhe Jab Ali Ali Ke Liye.
Ali Ko Dekh Ke Baleen Pe Main Pukaron Ga.
Aye Meri Maut Thehar Ja Tu Do Ghari Ke Liye.
Mujhe Hai Fakhar Keh Main Unn Ke Dar Ka Nokar Hoon.
Farishtay Khud Jahan Aate Hain Nokari Ke Liye.
Nabi Ki Aal Se Takrao Kya Zarori Hai.
Tareqay Our Bhi Raij Hain Khudkushi Ke Liye.
Alam Bara-e-Sahaba Tha Jang-e-Khaybar Mein.
Alif Se Sab Ke Liye Ain Se Ali Ke Liye.
Ab Iss Se Bhar Ke Sharf Aadmi Ka Kya Ho Ga?
Ruki Hoi Hai Qayamat Ik Aadmi Ke Liye.
Poet: :Mir Razi Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
#NaKhusrawiKeLiye
#ManqabatLyrics
#tajpoint