Roza e Haider Dekha Muhammad Raza Mungla Lyrics In Urdu

Roza e Haider Dekha Muhammad Raza Mungla Lyrics In Urdu

جب مقدر سے سُوئے روضہءِ حیدرؑ دیکھا

Jab Muqadar Se Soye Roza-e-Haider Dekha.
Farsh Se Arsh Talak Noor Ka Lashkar Dekha.
Dono Aalam Mein Koi Humsar-e-Haider Na Mila.
Dobay Soraj Ne Kayi Bar Ubhar Kar Dekha.
Meesum-o-Buzar-o-Salmaan Sa Bhala Kis Ka Naseeb.
Jis Ne Maula Teri Nalain Ko Cho Kar Dekha.
Kaun Hai Bazm-e-Risalat Mein Namazi Asli.
Ja Ke Shabbir Ne Khud Pusht-e-Nabi Par Dekha.
Barh Ke Rizwan Ne Khud Chom Liye Hath Oss Ke.
Dar Pe Janat Ke Jo Abbas Ka Nokar Dekha.
Hashar Ke Din Bhi Hoye Mehway Ibadat Hum Loag.
Lab-e-Kausar Jo Roye Saqi-e-Kausar Dekha.
Jab Kabhi Shair-e-Khuda Ne Kiya Barh Kar Hamla.
Taig Dekhi Kabhi Jibreel Ne Sheh Par Dekha.
Koi Bhi Dar Jo Howa Nam-e-Ali Se Mansoob.
Sar Jhukaye Hoye Dunya Ko Wahin Par Dekha.
Aa Ke Sunney Lagay :ZAHRA:-o-:RAZA: Ahl-e-Falak.
Madh-e-Maula Humein Kartay Jo Kahin Par Dekha.
Poetess: :Zahra Ali:
Manqabat Khowan: :Muhammad Raza Mungla:
Manqabat Volume: :Muhammad Raza Mungla 2023-24:
Composition: :Nasir Raza Mungla:
#RozaeHaiderDekha
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!