Tum Shaam Aana Baba Nadeem Sarwar Lyrics Urdu 2024
Tum Shaam Aana Baba Nadeem Sarwar Lyrics
Haye Sakina Haye Haye Masooma.
Main Karb-o-Bala Nahin Aa Sakti Baba, Baba Tum Sham Aana Baba.
Ab Milney Apni Beti Se Zindan Aana Baba Tum Sham Aana Baba.
Zindan Yeh Mujh Ko Raas Nahi.
Ab Jeene Ki Koi Aas Nahi.
Be Chain Hoon Tum Jo Pas Nahi.
Nahin Tum Ko Haal Suna Sakti Baba, Baba Tum Sham Aana Baba.
Main Kamsin Syed Zadi Aan.
Taidi Baba Main Shehzadi Aan.
Tere Baad Main Baba Rul Gayi Aan.
Main Mitiyaan Te Nahin So Sakdi Baba, Baba Tum Sham Aana Baba.
Baba Abbas Nahi Akbar Bhi Nahi.
Our Pas Mera Asghar Bhi Nahi.
Pardais Hai Apna Ghar Bhi Nahi.
Nahin Dil Apna Behla Sakti Baba, Baba Tum Sham Aana Baba.
Barey Mushkil Safar Nibhaye Hain.
Har Moor Pe Pathar Khaye Hain.
Be Jurm Tamachay Khaye Hain.
Nahin Zakhm Tumhein Dikhla Sakti Baba, Baba Tum Sham Aana Baba.
Mera Kunba Aye Sara Qaidi.
Baqir, Sajjad Bhira Qaidi.
Main Aap V Haan Baba Qaidi.
Main Rasiyaan Nahin Khulwa Sakdi Baba, Baba Tum Sham Aana Baba.
Main Jab Se Aap Se Bichari Hoon.
Bas Aap Ki Yaad Mein Roti Hoon.
Din Raat Sadaein Deti Hoon.
Main Aap Ke Bin Nahi Reh Sakti Baba, Baba Tum Sham Aana Baba.
Poet: :Jawad Jafri, Nadeem Sarwar:
Noha Khuwan: :Nadeem Sarwar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2024-25:
Composition: :Nadeem Sarwar, Ali Shanawar, Ali Ji:
#TumShaamAanaBaba
#NohayLyrics
#tajpoint