Amad Amad Haram e Shah Ki Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2024
Amad Amad Haram e Shah Ki Mir Hasan Mir
Aamad Aamad Haram-e-Shah Ki Darbar Mein Hai.
Subha Se Jashan Ka Gul Sham Ke Bazar Mein Hai.
Shor-e-Faryad-o-Boka itrat e Athar Mein Hai.
Aamad Aamad Haram e Shah Ki Darbar Mein Hai.
Hukam Aaya Hai Aseeron Ko Barabar Maro.
Jashan Ka Waqt Hai Durray Inhein Hans Kar Maro.
Ik Manadi Yeh Nida Deta Hai Aao Logo.
Bagi Aaye Hain Inhein Shoq Se Pathar Maro.
Khoon Mein Doba Howa Sadaat Ka Har Chehra Hai.
Giriya Kar Saktay Nahi Aah Pe Bhi Pehra Hai.
Sang Bari Ki Aziyat Bhi Bari Hai Lekin.
Zakhm Sadqay Ki Khajoron Ka Bohat Gehra Hai.
Dekh Kar Aal-e-Muhammad Ko Hansay Jate Hain.
Loag Har Moor Pe Bas Tanay Diye Jate Hain.
Chadrein Kya Hain Kafan Bhi Nahi Deta Koi.
Zindah Lashay Liye Sajjad Chaley Jate Hain.
Mustaqil Aal-e-Muhammad Mein Azadari Hai.
Our Beemar Ki Aankhon Se Lahu Jari Hai.
Be Rida Sham Ke Bazar Mein Aate Hain Haram.
Aisa Lagta Hai Kissi Eid Ki Teyari Hai.
Jholi Bhar Bhar Ke Sitamgar Hain Laye Pathar.
Pathron Ne Bhi Hain Hathoon Mein Uthaye Pathar.
Nook-e-Neza Se Gira Khak Pe Sar Asghar Ka.
Chotay Bachoon Se Sakina Ne Jo Khaye Pathar.
Baab-e-Saat Pe Bhi Zakhmo Se Bharay Hain Qaidi.
Hai Waram Paon Pe Paidal Jo Chaley Hain Qaidi.
Loag Tasheer Ke Khanjar Liye Aamadah Hain.
Teen Din Ho Gaye Maqtal Mein Kharey Hain Qaidi.
Darbar Mein Jane Ki Ghari Kaisi Thi.
Hosla Deti Rahi Sab Ko Ali Ki Beti.
Saat So Kursi Nasheen Door Se Dekhey Jis Dam.
Tham Kar Apni Kamar Bint-e-Ali Baith Gayi.
Wadah Beti Se Nibhanay Ke Liye Aaye Ali.
Sani-e-Zahra, :TAKALLUM: Paye Tazeem Uthi.
Iss Ghareebi Pe Tarapney Lagi Roh-e-Zahra.
Baap Ke Sath Jo Beti Sar-e-Darbar Gayi.
Istefada Kalam Mir Babar Ali Anees
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2024-25:
Composition: :Raza Shah:
#AmadAmad
#NohayLyrics
#tajpoint