Yaad e Karbala Syed Mudassir Mehdi Lyrics 2020
Yaad e Karbala Syed Mudassir Mehdi.
Sakoon-e-Qalb Kuch Nahi Siwaye Yaad-e-Karbala.
Ghulam-e-Shah-e-Deen Ko Rulaye Yaad-e-Karbala.
Tarap Raha Hai Kis Qadar Zyarat-e-Hussain Ko.
Dil-e-Hazeen Ko Cheer Kar Dikhaye Yaad-e-Karbala?.
Yeh Ishq Ka Usool Hai Keh Ikhteyar Na Rahe.
Main Waqf Kar Diya Gaya Bara-e-Yaad-e-Karbala.
Woh Din Hoon Arbaeen Ke Main Karbala Se Door Hoon.
Yeh Soch Kar Baras Pari Ghataye Yaad-e-Karbala.
Fiza Mein Be Yaqeeniyan Dilon Mein Izterab Hai.
Yeh Kis Tarha Ki Chal Pari Hawa-e-Yaad-e-Karbala.
Kahin Sagheer Ka Gala Chida Howa Hai Teer Se.
Kahin Pe Seena e Jawan Haye Yaad-e-Karbala.
Woh Dhondti Hai Qaid Mein Bhi Seena Apne Baap Ka.
Hussain Ki Yateem Ko Sataye Yaad-e-Karbala.
Koi Bhi Zakhm Aap Ka Sila Nahi Bhara Nahi.
Lahu Imam-e-Waqt Ko Rulaye Yaad-e-Karbala.
Imam Ke Zahoor Ki Naveed Bhi Sunai De.
Boland Iss Qadar Karo Sada-e-Yaad-e-Karbala.
Aye Badshah e Deen Dekh :HAIDER: E Hazen Ko.
Bilak Bilak Ke Ro Paray Jab Aaye Yaad-e-Karbala.
Poet: :Kamran Haider:
Noha Khuwan: :Syed Mudassir Mehdi:
Noha Volume: :Syed Mudassir Mehdi 2020-21:
Composition: :Syed Mudassir Mehdi:
#YaadeKarbala
#NohayLyrics
#tajpoint