Takhleeq e Kainat Ka Mehwar Jo Zaat Thi Lyrics Urdu 2024
Takhleeq e Kainat Ka Mehwar Jo Zaat Thi.
1- Takhleeq e Kainat Ka Mehwar Jo Zaat Thi.
Shan-e-Nuzool-e-Innama, Quraan Sifaat Thi.
Sardar-e-Anbiya Ki Jo Aks-e-Hayat Thi.
Thi Jo Sirat-e-Khuld Jo Rah-e-Nijat Thi.
Bad-e-Rasool Zulm-o-Sitam Oss Pe Dha Diya.
Dar Ko Jalaya Haq Se Bhi Mehroom Kar Diya.
2- Zalim Ne Choob e Taig Se Woh Zarb Lagai.
Thara Ke Reh Gayi Rasool ALLAH Ki Jayi.
Fizza! Mera Mohsin Yeh Sada Lab Pe Thi Aayi.
Ummat Ne Rasam-e-Ajar-e-Risalat Youn Nibhai.
Oss Marz Ne Hayat Ka Naqsha Badal Diya.
Bas Teen Mah Baad Pyam-e-Ajal Diya.
3- Asmaa Se Youn Goya Hoin Bint-e-Mustafa.
Bas Jati Hai Kaneez Yeh Ab Janib-e-Khuda.
Tasbeeh-e-Ibadat Ki Jo Moqoof Ho Sada.
Tum Mere Ibn-e-Am Ko Bala Na Sbook Zara.
Sab Ranj-o-Gham Se Aaj Rehai Main Paon Gi.
Bichari Hoon Kab Se Pas Main Baba Ke Jaon Gi.
4- Kuch Dair Mein Sada-e-Ibadat Thehar Gayi.
Gul Par Gaya Rasool Ki Pyari Guzar Gayi.
Zainab Tarap Ke Amma Ke Qadmo Pe Gir Gayi.
Maula Ali Ke Kano Mein Jab Yeh Khabar Gayi.
Sun Kar Pyam Zabt Ka Yara Na Reh Saka.
Seene Pe Hath Mar Ke Woh Shair Ro Diya.
5- Kya Ibtala-o-Ranj-o-Alam Ho Ga Oss Ghari.
Jab Tooti Pasliyon Pe Ali Ki Nazar Pari.
Shair-e-Khuda Ke Halq Se Ik Cheekh Si Nikli.
Giriya Kuna They Ashkon Ki Jari Hoi Lari.
Kis Karb-o-Aziyat Mein Safar Syeda Ka Tha.
Haider Sa Saf Shikan Bhi Na Iss Gham Ko Seh Saka.
6- Kulsoom Mehway Giriya Thin Be Haal They Hasan.
Haider Pe Sakht Shaq Tha Yeh Sadma-o-Mahin.
Shabbir Ke Ando Mein Jari Hoye Sukhan.
Amma Bulaein Gi Tu Yeh Jaye Ga Sokhta Tan.
Junbish Hoi, Boland Hoye Dast-e-Syeda.
Rotay They Ahl-e-Bait Tu Gash Khati Thin Fizza.
7- Shabbir Ja Ke Amma Ke Seene Se Lag Gaye.
Nalay Hussain Ke Jonhi Soye Falak Gaye.
Aanso Nabi Ke Khuld-e-Barin Mein Chalak Gaye.
Tabqat – Arz Lagta Tha Goya Sarak Gaye.
Ma Bain-o-Zameen Aasmaan Mehshar Ka Samaa Tha.
Aal-e-Ali Pe Gham Ka Yeh Ik Koh-e-Garaan Tha.
8- Shab Ko Janaza Le Ke Baqi Chaley Ali.
Ba Huzn-o-Alam Qabar Bachai Batool Ki.
Phir Chashm-e-Nam Se Ahmad-e-Mursal Se Arz Ki.
Loota Raha Hoon Aaj Amanat Main Aap Ki.
Iss Haal Mein Yeh Aap Se Ab Aa Ke Milein Gi.
Main Kya Kahon Khud Aap Se Rodad Kahin Gi.
9- Mati Lehad Ki Mal Ke Yeh Farmatay They Haider.
Gham Ki Woh Raat Aayi Hai Jis Ki Nahi Sahar.
Ab Kis Se Dil Ki Baat Kahon Haye Muqadar.
Sathi Meri Tanhai Ka Ab Kar Gaya Safar.
Yeh Karb-o-Aziyat Dam-e-Aakhir Bhi Rahe Gi.
Yeh Bekasi Zahra Ki Mujhe Yaad Rahe Gi.
10- Dushman Jo Syeda Ke Na Hotey Yeh Ummati.
Farmatay They Lehad Ki Main Karta Majawari.
Majboor Hoon Turbat Ka Nishaan Rakhna Hai Khafi.
Andhair Hoi Aaj Se Bas Meri Zindagi.
Ranj-o-Alam Batool-o-Ali Kaisay Hoon Raqam.
Ab Hosla Nahi Hai :NAJAM: Rook Le Qalam.
Poet: :Arsalan Rizvi Najam:
#AlwidaAlwida
#NohayLyrics
#tajpoint
Ayyam e Fatamiya Takhleeq e Kainat Ka Mehwar Jo Zaat Thi
Musaddas Bibi Fatima Zehra Takhleeq e Kainat Ka Mehwar Jo Zaat Thi Lyrics 2024