Zahra Ki Sana Khurram Murtaza Lyrics 2024
Zahra Ki Sana Khurram Murtaza Lyrics
Bhala Hai Itni Kahan Wosat-e-Bayan-e-Bashar.
Sana-e-Fatima Kaisay Karey Zaban-e-Bashar.
Ibn-e-Aadam Se Tu Zahra Ki Sana Mumkin Nahi.
Kar Sakay Banda Koi Kar-e-Khuda Mumkin Nahi.
Ain Mumkin Hai Khuda Mehshar Mein Zahra Se Kahey.
Fatima Zahra Tumhara Shukriya Mumkin Nahi.
Fatima Zahra Ka Ghar Hai, Tera Mera Ghar Nahi.
Bin Ijazat Ke Yahan Aaye Qaza Mumkin Nahi.
Fatima Ke Chand Ki Oss Par Hai Norani Nazar.
Jaun Ke Chehray Pe Na Chamkay Zia Mumkin Nahi.
Keh Diya Zahra Ne Ab Aaein Gay Bachoon Ke Libas.
Taal De ALLAH Zahra Ka Kaha Mumkin Nahi.
Kar Diya Zindah Sunaran Ka Pisar Tu Kya Howa.
Marziya Ki Ho Agar Marzi Tu Kya Mumkin Nahi.
Aa Gaya Jo Bhi Dar-e-Zahra Pe Khali Na Gaya.
Na Kissi Sail Ne Iss Dar Par Suna Mumkin Nahi.
Bakhsh De Ga Phir Khuda Bhi Raziya Razi Hoon Tu.
Warna Khaliq Ki Raza Inn Ke Siwa Mumkin Nahi.
Bibi Ka Haq Khana Hai Aisa Marz Jis Ki :ASAD:.
Nar-e-Dozakh Ke Siwa Koi Dawa Mumkin Nahi.
Poet: :Asad Ali Asad:
Manqabat Khuwan: :Khurram Murtaza:
Manqabat Volume: :Khurram Murtaza 2024-25:
Composition: :Akbar Abbas:
#ZahraKiSana
#ManqabatLyrics
#tajpoint