Ay Mere Mola Hussain Wajhi Hasan Zaidi Lyrics Urdu 2025
Ay Mere Mola Hussain Wajhi Hasan Zaidi.
Ab Iss Se Jan Lo Keh Hai Kya Kya Hussain Ka.
Marzi Hai Kibriya Ki Iradah Hussain Ka.
Jab Se Nabi Ke Sajday Mein Baithay Hain Pusht Par.
Ahsan Mand Tab Se Hai Sajdah Hussain Ka.
Masroof Hain Tawaf Mein Kabay Ke Kul Jahan.
Lekin Tawaf Karta Hai Kaba Hussain Ka.
Wajib Kiye Hain Rozay Khuda Ne Iss Liye.
Ta Keh Na Bholay Koi Bhi Faqa Hussain Ka.
Nezay Pe Haq Sunanay Ka Manzar Nazar Mein Hai.
Chup Kaisay Hoga Chahney Wala Hussain Ka.
Kam Aaein Gi Kissi Ki Na Jab Rishtay Dariyan.
Mehshar Mein Kam Aaye Ga Rishta Hussain Ka.
Khak-e-Shifa Ke Sadqay Maseeha Bana Diya.
Ahsan Kaisay Bholein Gay Esa Hussain Ka.
Fakhar-e-Hussain Kab Hai Yeh Hai Fakhar-e-Jibreel.
Jibreel Ne Jholaya Hai Jhola Hussain Ka.
Be Shak Zareeh Unn Ki Hai Be Had Nashaib Mein.
Lekin Hai Roza Phir Bhi Musalla Hussain Ka.
Hum Ko Khuda Ke Chehray Ka Dedar Ho Gaya.
Karb-o-Bala Mein Dekha Jo Roza Hussain Ka.
Fatwa Garoon Se Keh Do Manaein Ab Apni Khair.
Parday Se Aane Wala Hai Beta Hussain Ka.
Abbas Ki Nigahon Mein Qibla Wohi Tu Hai.
Hai Jis Jagah Bhi Naqsh-e-Pa Hussain Ka.
Dali Hai Maa Ne Chehra e Akbar Pe Youn Naqab.
Yeh Nasal Qeemati Hai Khazana Hussain Ka.
Nu Lakh Shamiyon Ka Nishaan Dhondta Jahan.
Abbas Ko Jo Milta Ishara Hussain Ka.
Sheh Karbala Chaley Gaye Kabay Ko Chor Kar.
Kabay Ne Chora Phir Bhi Na Peecha Hussain Ka.
Ojhal Nazar Se Ho Ke Woh Jata Hai Karbala.
Koi Bhi Matami Nahi Marta Hussain Ka.
Poet: :Allama Syed Zille Saqlain Zaidi:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2024-25:
#AyMereMolaHussain
#ManqabatLyrics
#tajpoint