Ye Kon Ataa Hai Mukhtar Hussain Fatehpuri.
Zameen Pe Aaj Khudaya Yeh Kaun Aata Hai.
Keh Jo Zameen Ko Arsh-e-Barin Banata Hai.
Woh Sar Pe Hath Rakhay Ga Tu Jane Kya Hoga.
Jo Bas Nigah Se Qaidi Ko Hur Banata Hai.
Woh Jis Farishtay Se Cheeney They Baal-o-Par Rab Ne.
Yeh Kis Ka Jhola Ossay Baal-o-Par Dilata Hai.
Faqat Woh Arsh-e-Khuda Tha Keh Jo Mualla Tha.
Yeh Karbala Ko Mualla Banaye Jata Hai.
Abhi Tu Jholay Mein Hai Taig Hath Mein Bhi Nahi.
Magar Abhi Se Dil-e-Kufar Thartharata Hai.
Namaziyon Ka Musalla Tu Farsh-e-Masjid Hai.
Musalla Pusht-e-Nabi Par Jo Khud Bichata Hai.
Ajeeb Chand Yeh Utra Hai Sehan-e-Zahra Mein.
Keh Aaj Teen Ko Chodah Ka Lutf Aata Hai.
Gunahgaro Chalo Fatima Ki Chokhat Par.
Keh Jibraeel Jahanum Bhujaye Jata Hai.
Aye :MAJID: Aa Gaya Majboor Koi Pas Oss Ke.
Tu Ik Nigah Se :MUKHTAR: Ossay Banata Hai.
Poet: :Allama Dr Majid Raza Abidi:
Manqabat Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Manqabat Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2024-25:
Composition: :Mesum Zaidi & Syed Ali Haider Jafri:
#YeKonAtaaHai
#ManqabatLyrics
#tajpoint