Sakina Abid Ko Dekhti Thi Syed Ali Naqvi Lyrics Urdu 2025
Sakina Abid Ko Dekhti Thi Syed Ali Naqvi.
Laeen Ne Jab Bhi Tamacha Mara Sakina, Abid Ko Dekhti Thi.
Kissi Ne Mara Jo Taziyana Sakina, Abid Ko Dekhti Thi.
Ghareeb-e-Karb-o-Bala Ki Beti.
Chali Hai Karb-o-Bala Se Pyasi.
Laeen Iss Tarha Rastay Mein.
Barhai Pyason Ki Tashnagi Bhi.
Dikha Ke Pani Ko Jab Bahaya.
Sakina, Abid Ko Dekhti Thi.
Woh Sham-e-Ghurbat Woh Jaltay Khaimay.
Bola Rahi Thi Chacha Ko Ro Ke.
Tarap Rahi Thi Jab Iss Ke Gohar.
Laeen Kano Se Iss Ke Khainchey.
Jab Iss Ke Kano Se Khon Nikla.
Sakina, Abid Ko Dekhti Thi.
Yateemi Ki Pehli Raat Mein Hi.
Galay Mein Iss Ke Bandhi Thi Rasi.
Sadaein Deti Thi Bhai Bhai.
Woh Apni Ghurbat Pe Ro Rahi Thi.
Jab Aag Se Jal Raha Tha Kurta.
Sakina, Abid Ko Dekhti Thi.
Tha Kaisa Darbar Mein Woh Manzar.
Tha Tasht Mein Jab Hussain Ka Sar.
Chari Jo Zalim Ne Mari Hans Ke.
Ghareeb-e-Zahra Ke Zakhmi Lab Par.
Behan Ko Sajjad Dekhta Tha.
Sakina, Abid Ko Dekhti Thi.
Hussain Ka Sar Bhi Ro Raha Tha.
Tha Waqt Syedaniyon Pe Kaisa.
Shikasta Hathoon Se Munh Chupa Kar.
Zameen Pe Tab Gir Gayin Sakina.
Kaneezi Mein Jab Laeen Ne Manga.
Sakina, Abid Ko Dekhti Thi.
Chacha Ka Sar Jab Issay Dikhaya.
Pakar Ke Baloon Se Oss Ko Mara.
Zameen Pe Sar Gir Gaya Tu Oss Ne.
Chacha Ka Sar Gaud Mein Uthaya.
Laeen Ne Durrah Ossay Lagaya.
Sakina, Abid Ko Dekhti Thi.
Aseer Ho Kar Jo Qaid Pohanchi.
:ALI:-o-:ZEESHAN: Ro Ke Boli.
Bohat Andhera Hai Dekho Bhai.
Yahan Pe Main Kis Tarha Rahon Gi.
Qadam Ko Zindan Mein Rakha Tha.
Sakina, Abid Ko Dekhti Thi.
Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Ali Naqvi:
Noha Volum: :Syed Ali Naqvi 2025-26:
Composition: :Zeeshan Abidi:
#SakinaAbidKo
#NohayLyrics
#tajpoint
