Zahra Ko Tumhari Ummat Nay Syed Kazim Hussain Zaidi Lyrics Urdu 2021

Zahra Ko Tumhari Ummat Nay Syed Kazim Hussain Zaidi Lyrics Urdu 2021

Zahra Ko Tumhari Ummat Nay Syed Kazim Hussain Zaidi.

Zahra Ko Tumhari Ummat Ne Darbar Bulaya Aye Baba.
Tehreer Tumhari Jhutla Di Dil Mera Dukhaya Aye Baba.

Aye Kash Koi Apna Hota Tehreer Ke Tukray Chan Leta.
Main Takti Rahi Sab Ka Chehra Koi Bhi Na Aaya Aye Baba.

Darbar Sitam Se Jab Lauti Bachoon Ke Saharey Ghar Pohanchi.
Zahra Ka Tumhari Ummat Ne Yeh Haal Banaya Aye Baba.

Dekho Tu Mere Darwazay Ko Hai Aag Laga Di Ummat Ne.
Our Aag Laga Kar Jalta Howa Dar Mujh Pe Giraya Aye Baba.

Darbar Bola Kar Zulm Kiya Phir Bhi Na Bhara Dil Logon Ka.
Ummat Ne Mujhe Darwazay Par Aa Aa Ke Sataya Aye Baba.

Jis Waqt Gira Woh Darwaza Mohsin Bhi Mera Baqi Na Raha.
Main Kaisay Bataon Kis Kis Ne Hai Mujh Ko Rulaya Aye Baba.

Darwaza Hatanay Ki Khatir Koi Bhi Nahi Aaya Aagay.
Pehlu Se Mera Woh Darwaza Fizza Ne Hataya Aye Baba.

Pehlu Bhi Howa Zakhmi Mera Our Pasliyaan Meri Toot Gayin.
Ummat Ne Tumhari Beti Ka Yeh Haal Banaya Aye Baba.

:ZEESHAN: Our :KAZIM: Bibi Ne Baba Ki Lehad Par Bain Kiye.
Qunfuz Ne Tumhari Beti Pe Hai Hath Uthaya Aye Baba.

Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Kazim Hussain Zaidi:
Noha Volum: :Syed Kazim Hussain Zaidi 2021-22:
Composition: :Syed Kazim Hussain Zaidi:

#ZahraKoTumhari
#NohayLyrics
#tajpoint

Zahra Ko Tumhari Ummat Nay Syed Kazim Hussain Zaidi Lyrics Urdu 2021 Write Up Poster Image

Zahra Ko Tumhari Ummat Nay Syed Kazim Hussain Zaidi Lyrics Urdu 2021

Video Link
error: Content is protected !!