ٹ کریں -->

Abhi Chehra Kafan Mai Mat Chupao Wajhi Hasan Zaidi 2026 Lyrics In Urdu

Abhi Chehra Kafan Mai Mat Chupao Wajhi Hasan Zaidi 2026.

Suno Zahra Ki Maiyyat Ka Yeh Manzar.
Tha Maa Ki Lash Par Shabbir Ka Sar.
Ali Ne Hath Rakha Jab Kafan Par.
Utha Ke Sar Kaha Betay Ne Ro Kar.

Main Maa Ko Dekh Loon Jee Bhar Ke Baba.
Abhi Chehra Kafan Mein Mat Chupao.
Mujhe Lainay Do Rukhsaron Ka Bosa.
Abhi Chehra Kafan Mein Mat Chupao.

-->

Hamesha Se Mujhe Lori Sunanay.
Woh Bethi Rehti Thin Mere Sirhaney.
Woh Chahe Jitni Gehri Neend Mein Hoon.
Zaror Uth Jaein Gi Pani Pilane.
Bataney Do Unhein Ke Hoon Main Pyasa.
Abhi Chehra Kafan Mein Mat Chupao.

Na Aaye Waqt Yeh Baba Kissi Pe.
Koi Jeetay Jee Maa Ko Zakhmi Dekhey.
Tamachay Ka Jo Hai Amma Ke Rukh Par.
Nishaan Woh Chom Loon Ik Bar Phir Se.
Nahi Bhola Main Zalim Ka Tamacha.
Abhi Chehra Kafan Mein Mat Chupao.

Mujhe Baba Bohat Yaad Aaein Gi Woh.
Main Dhondon Ga Nahi Mil Paein Gi Woh.
Mujhe Maloom Hai Iss Ghar Se Baba.
Kafan Mein Jab Lipat Kar Jaein Gi Woh.
Nahi Aaein Gi Phir Ghar Maa Dobarah.
Abhi Chehra Kafan Mein Mat Chupao.

Lipat Kar Baap Se Bola Yeh Beta.
Yahin Kuch Dair Rehne Do Janaza.
Bohat Zakhmi Hain Maa Main Janta Hoon.
Abhi Tu Dekhna Hai Hath Maa Ka.
Laga Zalim Ka Jis Par Taziyana.
Abhi Chehra Kafan Mein Mat Chupao.

Lipatta Hoon Main Jab Seene Se Maa Ke.
Sada Aati Hai Tooti Pasliyon Se.
Main Maa Ko Door Se Hi Dekh Loon Ga.
Chura Lo Chahe Tum Maiyyat Se Aa Ke.
Na Lipton Ga Main Ab Lekin Khudara.
Abhi Chehra Kafan Mai Mat Chupao.

Suna Hai Meri Beti Ran Mein Aa Ke.
Girey Gi Be Kafan Lashay Pe Mere.
Mera Qatil Churaye Ga Jab Oss Ko.
Pakar Kar Baal Marey Ga Tamachay.
Nahi Keh Paye Gi Meri Sakina.
Abhi Chehra Kafan Mai Mat Chupao.

Woh Maa Rukhsat Hoi Thi Jis Ne Pala.
Na Jane Kis Ne Bachoon Ko Sanbhala.
:WAJIH: Our Aye :ZEESHAN: Barh Ke.
Ali Ne Jab Kafan Chehray Pe Dala.
Sada Deta Raha Ro Ro Ke Beta.
Abhi Chehra Kafan Mai Mat Chupao.

Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Noha Volum: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2026-27:
Composition: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:

#AbhiChehraKafan
#NohayLyrics
#tajpoint

Abhi Chehra Kafan Mai Mat Chupao Wajhi Hasan Zaidi 2026 Lyrics In Urdu Write Up Poster Image

Abhi Chehra Kafan Mai Mat Chupao Wajhi Hasan Zaidi 2026 Lyrics In Urdu

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!