ٹ کریں -->

Aisi Bhi Thi Aik Maa Zeeshan Abidi Lyrics In Urdu 2026

Aisi Bhi Thi Aik Maa Zeeshan Abidi Lyrics In Urdu 2026

Bolo Yeh Waqt Kya Tum Pe Aaya Kabhi.
Chehra Kya Tum Se Maa Ne Chupaya Kabhi.
Rah Mein Zoor Se Maa Ke Rukhsar Par.
Kiya Kissi Ghair Ne Hath Uthaya Kabhi.
Jis Ke Bachoon Ne Dekha Tha Zair-e-Kafan.
Ik Tamachay Ka Rukh Par Nishaan.

Samne Apne Bachoon Ke Zakhmi Thi Woh.
Dard Hota Tha Jab Sans Leti Thi Woh.
Mar Gaya Mera Mohsin Yeh Kehte Hoye.
Haye Jis Dar Ke Neechay Tarapti Thi Woh.
Zalimo Ne Ossi Dar Pe Paon Rakhay.
Toor Dein Oss Ki Sab Pasliyaan.

-->

Yeh Qayamat Kissi Ghar Pe Ab Na Paray.
Bachay Chotay Hoon Our Maa Ki Maiyyat Uthay.
Kitne Kamsin Hussain-o-Hasan They Magar.
Dekha Jab Maa Ka Chehra Kafan Khol Ke.
Woh Zaeefa Thi Atharwin Saal Mein.
Our Chehray Pe Thin Jhuriyan.

Hath Chadar Mein Rakhti Thi Yeh Soch Kar.
Zakhm Na Dekh Lein Mere Noor-e-Nazar.
Oss Ke Ik Hath Ka Bazu Toota Tha Our.
Neel Hi Neel They Dosrey Hath Par.
Taziyana Ossay Aisay Mara Gaya.
Hill Na Paein Kabhi Ungliyaan.

Tham Kar Ghar Ki Dewar Chalti Rahi.
Dard Itna Barha Jaan Nikalti Rahi.
Itna Mara Gaya Tha Ossay Din Ba Din.
Oss Ke Chehray Ki Rangat Badalti Rahi.
Haal Aisa Howa Ke Saharey Ke Bin.
Uth Na Payi Giri Woh Jahan.

Fatima Naam Tha Roney Walo Suno.
Mar Gayi Zakhm Kha Kar Madine Mein Jo.
Mar Ke Bhi Sath Bachoon Ka Chora Nahi.
Sham Tak Sath Aayi Madine Se Woh.
Jab Sharabi Ke Darbar Layi Gayin.
Be Rida Oss Ki Sab Betiyaan.

Bas Ali Ke Liye Zakhm Khati Rahi.
Apne Mehdi Ko Ro Kar Bulati Rahi.
Zakhmi Kano Se Jab Khon Jari Howa.
Yaad Oss Ko Sakina Ki Aati Rahi.
Itni Shiddat Se Hath Oss Ke Munh Par Laga.
Toot Kar Gir Gayin Baliyaan.

Jab Kissi Maa Ki Maiyyat Pe Jaya Karo.
Fatima Ki Musibat Sunaya Karo.
Sabar :ZEESHAN: Bachoon Ko Aa Jaye Ga.
Bas Yeh Keh Kar Galay Se Lagaya Karo.
Yaad Woh Maa Karo Aakhri Sans Tak.
Jis Ke Pehlu Se Khoon Tha Rawaan.

Poet: :Zeeshan Abidi:
Noha Khuwan: :Zeeshan Abidi:
Noha Volum: :Zeeshan Abidi 2026-27:
Composition: :Zeeshan Abidi:

#AisiBhiThi
#NohayLyrics
#tajpoint

2026 New Noha Aisi Bhi Thi Aik Maa Zeeshan Abidi Lyrics

Ayyam e Fatamiya Noha Aisi Bhi Thi Aik Maa Zeeshan Abidi

Aisi Bhi Thi Aik Maa Zeeshan Abidi Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image

Aisi Bhi Thi Aik Maa Zeeshan Abidi Lyrics In Urdu 2026

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!