ٹ کریں -->

Maan Ke Qadam Chorr De Mere Hussain Mohsin Hashmi Lyrics In Urdu 2026

Maan Ke Qadam Chorr De Mere Hussain Mohsin Hashmi.

Peshwayi.
Ghar Mein Aaye Jo Masjid Se Shah-e-Huda.
Bait-e-Bint-e-Payamber Mein Kuhram Tha.

Pocha Fizza Se Sarwar Ne Maa Hai Kahan.
Soona Soona Kyun Lagne Laga Hai Makaan.

-->

Yak Ba Yak Maa Ki Maiyyat Ko Sheh Dekh Ke.
Maa Ke Qadmo Mein Sar Rakh Ke Roney Lagay.

Oss Ghari Apne Band-e-Kafan Toor Ke.
Maa Yeh Kehne Lagi Ro Ke Shabbir Se.

Maa Ke Qadam Chor De Mere Hussain Mere Hussain.
Aa Ja Galay Se Lag Ja Mere Hussain Mere Hussain.

Jate Hoye Mat Barhao Iss Tarha Mushkil Hamari.
Aisay Na Qadmo Mein Baitho Dil Mein Jagah Hai Tumhari.
Tum Ho Mere Dil Ke Tukray Mere Hussain Mere Hussain.
Aisay Nahi Rotay Beta Mere Hussain, Mere Hussain.

Jo Bhi Guzarti Hai Dil Par Mujh Ko Sunao Na Aa Ke.
Main Bhi Chali Jaon Gi Tu Gham Kis Se Banto Gay Ja Ke.
Kuch Tu Kaho Shah Zaday Mere Hussain, Mere Hussain.
Aisay Nahi Rotay Beta Mere Hussain, Mere Hussain.

Khaya Hai Jab Se Tamacha Rukhsar Zakhmi Hai Mera.
Jab Se Laga Taziyana Pehlu Howa Hai Shikasta.
Main Mar Gayi Jeetay Jeetay Mere Hussain, Mere Hussain.
Aisay Nahi Rotay Beta Mere Hussain, Mere Hussain.

Jab Dar Jalaya Gaya Tha Yeh Zulm Dhaya Gaya Tha.
Pehlu Pe Dar Jab Giraya Mohsin Bhi Mara Gaya Tha.
Amma Ko Do Pursa Aa Ke Mere Hussain, Mere Hussain.
Aisay Nahi Rotay Beta Mere Hussain, Mere Hussain.

Raton Ko Uth Uth Ke Ab Se Rona Nahi Mere Jani.
Tum Sirf Aawaz Dena Fizza Pila De Gi Pani.
Shab Mein Jo Tum Hoon Gay Pyasay Mere Hussain, Mere Hussain.
Aisay Nahi Rotay Beta Mere Hussain, Mere Hussain.

Amma Ko Rukhsat Karo Ab Jane Mulaqaat Ho Kab.
Main Maa Hoon Sab Janti Hoon Rotay Hain Munh Phair Ke Sab.
Sab Ko Sahara Hai Tum Se Mere Hussain, Mere Hussain.
Aisay Nahi Rotay Beta Mere Hussain, Mere Hussain.

Yeh Sun Ke Shabbir Uthay Amma Ke Seene Se Liptay.
Yasrab Mein Aayi Qayamat Bachay Ke Shor-e-Fogaan Se.
Maa So Gayi Kehte Kehte Mere Hussain, Mere Hussain.
Aisay Nahi Rotay Beta Mere Hussain, Mere Hussain.

Jab So Gaya Sab Madina Zahra Ka Utha Janaza.
:MOHSIN:, :JARY: Maa Ke Gham Mein Rotay Rahe Shah-e-Wala.
Phir Kab Kaha Yeh Kissi Ne Mere Hussain, Mere Hussain.
Aisay Nahi Rotay Beta Mere Hussain, Mere Hussain.

Poet: :Jary Raza:
Noha Khuwan: :Mohsin Hashmi:
Noha Volume: :Mohsin Hashmi 2026-27:

#MaanKeQadam
#NohayLyrics
#tajpoint

New Noha Maan Ke Qadam Chorr De Mere Hussain Mohsin Hashmi

2026 Noha Maan Ke Qadam Chorr De Mere Hussain Mohsin Hashmi

Bibi Fatima SA Noha Maan Ke Qadam Chorr De Mere Hussain Mohsin Hashmi

Maan Ke Qadam Chorr De Mere Hussain Mohsin Hashmi Lyrics In Urdu 2026 Write Up Poster Image

Maan Ke Qadam Chorr De Mere Hussain Mohsin Hashmi Lyrics In Urdu 2026

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!