Reza Kay Sikke Se Rajab Ali Khan Lyrics In Urdu 2021
Reza Kay Sikke Se Rajab Ali Khan.
Suno Suno Mere Maula Raza Ke Sikkay Se.
Nizam Banta Hai Kya Kya Raza Ke Sikkay Se.
Yeh Aam Sikka Nahi Sikka-e-Imamat Hai.
Our Iss Ki Arz-o-Samawaat Pe Hakomat Hai.
Hai Bag-e-Khuld Bhi Sasta Raza Ke Sikkay Se.
Ke Iss Pe Naqsh Hai Ism-e-Ali-e-Mosi Raza.
Our Iss Mein Aks Hai Maula Raza Ke Rozay Ka.
Kharooj-e-Noor Hai Goya Raza Ke Sikkay Se.
Janab-e-Wali-e-Mashhad Se Iss Ko Nisbat Hai.
Niyaz-o-Nazar Mein Langar Mein Iss Ki Shirkat Hai.
Hai Rehmaton Ka Asasa Raza Ke Sikkay Se.
Marifat Ki Nazar Se Yeh Hum Ne Jana Hai.
Ghareeb-e-Toos Ka Hasil Humein Khazana Hai.
Khareed Lein Gay Zamana Raza Ke Sikkay Se.
Hamarey Bazu Pe Jab Maein Bandhti Hain Issay.
Tu Hum Se Kehti Hain Ro Kar Barey Aqeeday Se.
Har Aik Shar Se Bachay Ga Raza Ke Sikkay Se.
Hum Iss Liye Hi Tu Rakhtay Hain Jaib Mein Iss Ko.
Hamarey Rizq Mein Iss Ke Sabab Se Barkat Ho.
Keh Rizq Barhta Hai Apna Raza Ke Sikkay Se.
Jahan Se Bool Raha Hai Yeh :YASIR-E-: Sehwan.
Qaza Ke Baad Chaley Sath Sath Zair-e-Kafan.
Ke Mujh Ko Door Na Karna Raza Ke Sikkay Se.
Poet: :Yasir Raza Yasir:
Manqabat Khuwan: :Rajab Ali Khan:
Manqabat Volume: :Rajab Ali Khan 2020-21:
Composition: :Waheed-ul-Hasan Kamalvi:
#RezaKaySikkeSe
#ManqabatLyrics
#tajpoint