Bibi Masoom e Qum Imam e Raza Lyrics Urdu 2026
Bibi Masoom e Qum Imam e Raza Lyrics Urdu
Aaye Zilqad Mein Mosa Kazim Ke Ghar.
Bibi Masooma-e-Qum Imam-e-Raza.
Ik Sadaf Mein Khuda Se Miley Do Gohar.
Bibi Masooma-e-Qum Imam-e-Raza.
Naam Dukhtar Ka Apni Rakha Fatima.
Our Betay Pe Dada Ali Ka Rakha.
Najma Khaton Ke Dono Noor-e-Nazar.
Bibi Masooma-e-Qum Imam-e-Raza.
Pehli Zilqada Ko Fatima Masoma.
Gayarah Zilqada Ko Maula Imam-e-Raza.
Farsh Par Aaye Nori Jahan Chor Kar.
Bibi Masooma-e-Qum Imam-e-Raza.
Pehli Zilqada Se Gayarah Zilqada Talak.
Keh Rahe They Musalsal Yeh Aa Kar Malak.
Maula Dono Mubarak Ho Lakht-e-Jigar.
Bibi Masooma-e-Qum Imam-e-Raza.
Ik Ali Ke Amamay Ka Waris Howa.
Ik Ke Hissay Mein Hai Fatima Ki Rida.
Shajra e Tayyaba Ke Hain Dono Samar.
Bibi Masooma-e-Qum Imam-e-Raza.
Ik Ne Aabad Mashhad, Khurasaan Kiya.
Ik Ne Aabad Qum Ka Shehar Kar Diya.
Mulk-e-Iran Mein Ilm Ke Do Hain Dar.
Bibi Masooma-e-Qum Imam-e-Raza.
Mosa Kazim Ke Ghar Utray Quran Do.
Aaye Deen-e-Khuda Ke Nigehban Do.
Ban Ke Deen-e-Elahi Ke Khatir Sapar.
Bibi Masooma-e-Qum Imam-e-Raza.
Ho Agar Aap Ki Mujh Pe Nazar-e-Karam.
Dono Rozon Ka Dekhon Main Jah-o-Hasham.
Hai Yehi Iltija Lab Pe Sham-o-Sahar.
Bibi Masooma-e-Qum Imam-e-Raza.
Iss Qasiday Ka Mujh Ko Sila Chahiye.
Malkoon! Aap Ki Bas Raza Chahiye.
:MOHTASHAM: Ki Dua Hai Yehi Mukhtasir.
Bibi Masooma-e-Qum Imam-e-Raza.
Poet: :Mirza Ahsan Abbas Mohtasham:
#BibiMasoomeQum
#ManqabatLyrics
#tajpoint
