Ali Ka Ghar Veeran Ho Gaya Sabir Habib Khan Lyrics In Punjabi and Roman Punjabi
علیؑ کا گھر ویران ہو گیا
Aana Bhi Ali Hai Tera Jana Bhi Ali Hai.
Khon-e-Ali Se Surkh Yeh Ramzan Ho Gaya.
Ghar Hai Ali Ka Eid Pe Veeran Ho Gaya.
Iss Chand Ki Wajah Se Hai Darain Matami.
Dekha Jo Chand Ro Ke Kaha Dukhtar-e-Ali.
Meri Yateemi Ka Hai Yeh Ayelan Ho Gaya.
Doba Howa Hai Khon Mein Imran Ka Pisar.
Maqtal Bana Howa Hai Yeh Logo Khuda Ka Ghar.
Sajday Mein Qatal Natiq-e-Quran Ho Gaya.
De Ke Chaley Jahan Ko Sajday Ka Yeh Hunar.
Hain Mutmain Ali Tu Sar De Ke Bhi Magar.
Zalim Hi Zulm Kar Ke Pareshan Ho Gaya.
Fuztu Berab Al-Kaba Kahey Waqt Ka Imam.
De Ke Chala Hoon Aaj Main Islam Ko Qiyam.
Sad Shukar Keh Main Deen Pe Qurban Ho Gaya.
Dohra.
Kita Qatal Quran Nu Wich Masjid Ik Zalim Bad Kirdar Aye.
Phat Gayi Peshani Haider Di Hoya Zulm Da Aisa Waar Aye.
Khul Gayi Dastar Muhammad Di Roway Nabiyaan Da Sardar Aye.
:AZHAR: Haider Di Ghurbat Te Baqiya V Matamdar Aye.
Tar Hai Ali Ke Khon Se Dastar-e-Mustafa.
:AZHAR: Ali Ke Gham Mein Hai Magmoom Syeda.
Rukhsat Jahan Se Mazhar-e-Yazdan Ho Gaya.
Poet: :Azhar Abbas:
Noha Khuwan: :Sabir Habib Khan:
Noha Volume: :Sabir Habib Khan 2020-21:
#AliKaGharVeeranHoGaya
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com