Le Ke Shabbar Ki Dua Arsh Se Aayi Mehndi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
لے کے شبرؑ کی دُعا عرش سے آئی مہندی
Rashk Kartay Hoye Yeh Kehne Lagi Karb-o-Bala.
Rasam Mehndi Ki Na Dekhi Kahin Aisi Hoti.
Yahan Iss Shan Se Uthi Teri Mehndi Qasim.
Yeh Madine Mein Agar Hoti Tu Kaisi Hoti.
Le Ke Shabar Ki Dua Arsh Se Aayi Mehndi.
Ya Hasan Keh Ke Sakina Ne Uthai Mehndi.
Qasim-o-Kubra Se Yeh Kehne Lagi Karb-o-Bala.
Dekh Kar Noor-e-Hina Raaz Yehi Mujh Pe Khula.
Aap Dono Ke Liye Haq Ne Banai Mehndi.
Ik Sada Ban Ke Payamber Ki Pyami Aayi.
Bag-e-Janat Se Khadija Ki Salami Aayi.
Dast-e-Dulha Pe Jo Farwa Ne Rachai Mehndi.
Layi Janat Se Hoon Par Dekh Yeh Qasim Beta.
Rukh Madine Ki Taraf Kar Ke Yeh Zahra Ne Kaha.
Fatima Sughra Ki Janib Se Hoon Layi Mehndi.
Karbala Mein Youn Humein Jashan Khuda Dikhla De.
Aisa Manzar Ho Keh Oss Waqt Wahan Le Aaye.
Saat Shaban Ko Khud Sari Khudai Mehndi.
Nam-e-Shabar Pe Bhi Akbar Ne Uthai Hogi.
Dast-e-Qasim Pe Yehi Keh Ke Lagai Hogi.
Yeh Chacha Jaan Ki Taraf Se Mere Bhai Mehndi.
Kya Yeh Kam Hai Keh Tu Qasim Ki Hatheli Pe Lagi.
Teri Qismat Inhi Hathoon Ki Lakeeron Ne Likhi.
Hashar Tak Hogi Teri Madah Sarai Mehndi.
Apne Betay Ke Liye Mehndi Banani Hai Agar.
Khak Oss Khaimay Ki Iss Bar Utha Le Ja Kar.
Jahan Shabeer Ne Qasim Ko Lagai Mehndi.
Na Samajh Oss Ki Haqeeqat Ko Bhala Kiya Samjhein.
Oss Ki Azmat Ko Faqat Ahl-e-Kisa Hi Samjhein.
Woh Jo Teyar Karey Fatima Jayi Mehndi.
Yaad Aati Hai :ASAD: Biyah Mein Oss Biyah Ki Yaad.
Hum Jo Shadi Mein Manatay Hain Yeh Noshah Ki Yaad.
Aaj Tak Hum Ne Na Qasim Ki Bhulai Mehndi.
Poet: :Asad Ali Asad:
Manqabat Khuwan: :Master Syed Mohammad Shah:
Manqabat Volume: :Master Syed Mohammad Shah 2018-19:
#MehndiShehzadeQasim
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com