Rasool e Akram Ka Dilruba Lyrics In Urdu 2020
Rasool e Akram Ka Dilruba.
Rasool-e-Akram Ka Dilruba Be Khata Mara Gaya.
Khair-Al-Nisa Ka Ladla Be Gunah Mara Gaya.
Mustafa Ki Ladli Ne Nazoon Se Pala Jisay.
Woh Sar-e-Karb-o-Bala Be Gunah Mara Gaya.
Chayi Kabay Par Udasi Hil Gaya Arsh-e-Barin.
Jab Hussain Ibn-e-Ali Aye Khuda Mara Gaya.
Roti Hain Kulsoom-o-Zainab Lasha-e-Shabeer Pe.
Behno Ka Pardais Mein Aasra Mara Gaya.
Bain Karti Hai Sakina Main Yateema Ho Gayi.
Jab Mera Baba Sar-e-Karbala Mara Gaya.
Bhai Tha Abbas Jis Ka Lal Akbar Sa Jawaan.
Badshahon Ka Wohi Badshah Mara Gaya.
Poet: :Badar Faqeer:
Poet: :Jawad Jafri:
Noha Khuwaan: :Ali Shanawar:
Noha Volume: :Nadeem Sarwar 2020-221:
Composition: :Anwar Dadyal, Ali Shanawar:
#RasooleAkramKaDilruba
#NohayLyrics
#tajpoint
