Dikha Ke Josh-e-Tawala Ali Ali Bolay Lyrics In Urdu 2020
Dikha Ke Josh-e-Tawala Ali Ali Bolay.
Hai Pak Jis Ka Bhi Shajrah Ali Ali Bolay.
Shab-e-Zahoor-e-Janab-e-Ameer Kehti Hai.
Zamana Chup Rahe Kaba Ali Ali Bolay.
Jahan Kahin Pe Bhi Dunya Ne Rasta Roka.
Wahan Pe Esa-o-Mosa Ali Ali Bolay.
Yeh Kaisi Maa Hai Jo Kehti Hai Bacha Maa Na Kahey.
Zabaan Se Lafz Yeh Pehla Ali Ali Bolay.
Zara Si Khak-e-Shifa Tum Zaban Par Rakh Do.
Jo Chahtey Ho Keh Gonga Ali Ali Bolay.
Main Oss Ko Qari-e-Quran Hi Samjhta Hoon.
Khaloos-e-Dil Se Jo Banda Ali Ali Bolay.
Khuda Bhuja De Jahanum Ko Mera Dawa Hai.
Agar Yeh Sara Zamana Ali Ali Bolay.
Safar Ruka Kahan Meesum Ki Madah Khuwani Ka.
Zabaan Kati Tu Zyada Ali Ali Bolay.
Idhar Jo Narah-e-Haider Lagaya :ASHHAR: Ne.
Udhar Imam-e-Zamana Ali Ali Bolay.
Poet: :Ashhar Mehdi:
Manqabat Khuwan: :Muzammil Abbas Zaidi:
Manqabat Volume: :Muzammil Abbas Zaidi 2020-21:
Composition: :Sayyed Zaire Naqvi:
#DikhaKe
#ManqabatLyrics
#tajpoint