Jis Waqt Main Ne Nara-e-Haider Laga Liya Lyrics In Urdu 2019

Jis Waqt Main Ne Nara-e-Haider Laga Liya Lyrics In Urdu 2019

Jis Waqt Main Ne Nara-e-Haider Laga Liya.

Aisa Laga Keh Arsh Ne Sar Par Bitha Liya.

Lehjay Mein Boturab Ke Khutbon Ke Waar Se.
Bint-e-Ali Ne Deen-e-Elahi Bacha Liya.

Janat Bhi Barh Keh Oss Ki Jabeen Chomne Lagi.
Jis Ne Dar-e-Hussain Pe Khud Ko Jhuka Liya.

Aye Fooj-e-Ashqiya Tere Pehre Hain Sab Fazool.
Abbas Ne Tu Mashk Mein Darya Utha Liya.

Bugz-e-Ali Mein Sheikh Jee Mehnat Kiye Bina.
Tum Ne Tu Khud Hi Naar Ka Rasta Bana Liya.

Karb-o-Balal Mein Woh Mera Nayab Waqt Tha.
Sarwar Ne Jeetay Jee Mujhe Janat Bula Liya.

Gham Mein Hussain Ke Shab-e-Ashor Jaag Kar.
Hur Ki Tarha Se Apna Muqadar Jaga Liya.

Hai Nooh Se Bhi Aagay Woh Tableeg Hur Teri.
Betay Ko Bhi Safina-e-Shah Mein Bula Liya.

Aye Foj-e-Sham Dhond Le Raste Farrar Ke.
Asghar Nr Izn Shah Se Maqtal Ka Pa Liya.

:ALAM: Hai Woh Bhi Qatil-e-Shabir Ba-Khuda.
Zikar-e-Hussain Jis Ne Tijarat Bana Liya.

Poet: :Syed Mohd Alam Zaidi:

#NaraeHaider
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Jis Waqt Main Ne Nara-e-Haider Laga Liya Lyrics In Urdu 2019 Write Up Poster Image

Jis Waqt Main Ne Nara-e-Haider Laga Liya Lyrics In Urdu 2019

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
error: Content is protected !!