Jab Imam Aayenge – Wajhi Hasan Zaidi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
جب اِمامؑ آئیں گے
Hal-e-Gham Sunaein Gaye Jab Imam Aayenge.
Zakhm-e-Dil Dikhaein Gaye Jab Imam Aayenge.
Mehfilein Jamaein Gaye Jab Imam Aayenge.
Bam-o-Dar Sajaein Gaye Jab Imam Aayenge.
Jashan Hum Manaein Gaye Jab Imam Aayenge.
Zakhm Hain Abhi Taza Maka Aour Madina Ke.
Sham-o-Kofa Karb-o-Bala Hum Bhula Nahi Sakte.
Az Saqeefa Ta Ayeen Dam Ghair Se Nahi Pohanche.
Jitne Dukh Uthaye Hain Hum Ne Kalma Goyon Se.
Aik Ik Chukaein Gaye Jab Imam Aayenge.
Ye Hamari Makar-o-Riya Shatrana Ayyari.
Kya Hamare Nohon Salam Our Yeh Azadari.
Kitna Hai Khaloos Unn Mein Kis Qadar Riya Kari.
Kya Imam Ki Khatir Hum Ne Ki Hai Teyari.
Kaise Munh Dikhaein Gaye Jab Imam Aayenge.
Al-Ajal Jo Kehte Hain Aa Gaye Tu Kya Ho Ga.
Kya Hai Apni Teyari Paish Hum Karein Gaye Kya.
:SIBT-E-JAFAR: Apna Tu Kul Yehi Hai Sarmaya.
Hamd-o-Naat-o-Soz-o-Salam Our Manqabat Noha.
Hum Yehi Sunaein Gaye Jab Imam Aayenge.
Maut Un Ke Mohibon Ko Aati Nahi.
Aa Bhi Jaye Tu Phir Bach Ke Jati Nahi.
Maut Se Kya Khatar Maut Se Kya Hazar.
Iss Se Bachna Bhi Kya Aa Gayi Aa Gayi.
Jab Khuda Ko Pukara Tu Ali Aa Gaye.
Jab Ali Aa Gaye Tu Zindagi Aa Gayi.
Ghusal-e-Maiyyat Na Kehna Mere Ghusal Ko.
Ujlay Malbos Ko Mat Kafan Naam Do.
Main Chala Hoon Ali Se Mulaqaat Ko.
Jis Ki Thi Aarzu Woh Ghari Aa Gayi.
Mujh Koi Gham Nahi Hai Magar Aye Hussain Tera.
Meri Fikar Ki Hai Manzil Safar Aye Hussain Tera.
Aye Jina Ke Shehzaday Tu Zameen Pe Aa Gaya Kyun.
Keh Musalsal Ibtila Hai Safar Aye Hussain Tera.
Na Dobara Hazari Gar Ho Naseeb-e-Sibt-e-Jafar.
Keh Phir Oss Ki Samt Se Ho Guzar Aye Hussain Tera.
Poet: :Ustad Sibt-e-Jafar:
Manqabat Khuwan: :Syed Wajhi Hasan Zaidi:
Manqabat Volume: :Syed Wajhi Hasan Zaidi 2013-14:
#JabImamAayenge
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com