ٹ کریں -->

Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi Lyrics In Urdu 2017

Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi Lyrics In Urdu 2017

Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi.
Mere Nagmaat Ko Andaz-e-Nawa Yaad Nahi.

Main Ne Palkon Se Dar-e-Yaar Pe Dastak Di Hai.
Main Wo Sail Hoon Jisse Koi Sada Yaad Nahi.

-->

Main Ne Jin Ke Liye Rahoon Mein Bichaya Tha Laho.
Hum Se Kehte Hain Wohi Ehd-e-Wafa Yaad Nahi.

Kaise Bhar Ayin Sar-e-Shaam Kissi Ki Ankhein.
Kaise Tharai Cheragon Ki Ziya Yaad Nahi.

Siraf Dhundlaye Sitaron Ki Chamak Dekhi Hai.
Kab Howa, Koan Howa, Mujh Se Juda, Yaad Nahi.

Zindagi Jabr-e-Musalsal Ki Tarha Kati Hai.
Jane Kiss Jurm Ki Payi Hai Saza Yaad Nahi.

Ayo Ik Sajdah Karein Aalm-e-Madhoshi Mein.
Loag Kehte Hain Keh :SAGAR: Ko Khuda Yaad Nahi.

Poet: :Sagar Siddiqui:
Singer: :Hussain Baksh Gullo:
Singer: :Ghulam Ali:

#HaiDuaYaad
#GhazalLyrics
#tajpoint

Hai Dua Yaad Magar Harf-e-Dua Yaad Nahi Lyrics In Urdu 2017

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!