Abu Talib Mohsin Naqvi Lyrics In Urdu 2023
Abu Talib Mohsin Naqvi Lyrics In Urdu
Israr-e-Moarif Ka Gulistaan Abu Talib.
Eman Ke Har Dard Ka Darmaan Abu Talib.
Takht-e-Dil-e-Hasti Ka Sulemaan Abu Talib.
Har Door Mein Sar Chashma e Emaan Abu Talib.
Har Gham Se Jo Iss Ko Abu Talib Na Bachata.
Islam Tera Thokarein Khata Nazar Aata.
Shadabi e Gulzar-e-Payamber Abu Talib.
Ahsan-o-Sakhawat Ka Samandar Abu Talib.
Rutbay Mein Hai Kabay Ke Barabar Abu Talib.
Taqdees Mein Kabay Se Bhi Barh Kar Abu Talib.
Jhukti Hai Jabeen Jis Pe Tere Fikar-o-Nazar Ki.
Hai Jaye Wiladat Abu Talib Ke Pisar Ki.
Hairaan Abu Talib Ki Ana Par Hain Malak Tak.
Imraan Ke Madarij Ki Rasai Hai Falak Tak.
Hai Roshni e Qalb-o-Nazar Iss Ki Jhalak Tak.
Tofan-e-Musayab Mein Bhi Jhapki Na Palak Tak.
Khushbo Hai Rawaan Jis Ki Har Ik Dil Ki Kali Mein.
Khaila Hai Wohi Dein Abu Talib Ki Ghali Mein.
Jo Khoon Abu Talib Ke Azaim Ki Atta Ho.
Woh Khon Bhala Kaisay Rag-e-Dein Se Juda Ho.
Jis Toor Se Ahsaan Abu Talib Ne Kiya Ho.
Mumkin Nahi Islam Se Yeh Qarz Ada Ho.
Oss Par Bhi Yeh Fatwa Keh Ossay Deen Se Kad Hai.
Yeh Munkir-e-Imraan Ka Faqat Bugz-o-Hasad Hai.
Kar Yaad Woh Shaib e Abi Talib Ka Zamana.
Jazbay Ke Shararon Ko Hawaon Se Larana.
Woh Azam-o-Jalal-e-Rukh Imraan Ka Fasana.
Har Raat Payamber Ko Musayab Se Bachana.
Iss Toor Ka Dunya Mein Koi Baap Dikha De.
Jo Maut Ke Bistar Pe Bhi Beton Ko Sula De.
Tum Loag Musalmaan Jo Hoye, Kuch Nahi Kehte.
Tum Dayi e Emaan Jo Hoye, Kuch Nahi Kehte.
Taqdeer Ke Samaan Jo Hoye, Kuch Nahi Kehte.
Haan Dushman-e-Imraan Jo Hoye, Kuch Nahi Kehte.
Chaho Tu Daleron Ko Bhi Hujray Mein Bitha Do.
Buzdil Ko Magar Fatah-e-Konain Bana Do.
ALLAH Ke Ghar Ka Jo Nigehbaan Ho Woh Kafir?.
Jo Haq Ke Liye Itna Pareshaan Ho Woh Kafir?.
Jo Arsh-e-Mualla Ka Musalmaan Ho Woh Kafir?.
Emaan Nahi Jo Mohsin-e-Emaan Ho Woh Kafir?.
Iss Baat Pe Kyun Koi Pareshaan Nahi Hota.
Emaan Ka Padar Munkir-e-Emaan Nahi Hota.
Jab Feham Ne Badla Kabhi Tashkaik Ka Qalib.
Jab Lafz Se Cheeni Gayi Jageer Matalib.
Jab Fikar Ki Dunya Pe Jahalat Hoi Ghalib.
Islam Pukara Abutalib, Abu Talib.
Khud Haq Ke Liye Haq Hi Pareshaan Nazar Aaya.
Batil Ke Muqabil Mein Bhi Imraan Nazar Aaya.
Qandeel-e-Charag-e-Rukh-e-Ahmad Abu Talib.
Eman Se Eman Ki Abjad Abu Talib.
Batil Ke Liye Zarbat-e-Ayezad Abutalib.
Har Mumlikat e Dein Ki Hai Sarhad Abu Talib.
Dastar-e-Payamber Ko Jo Imraan Na Bachata.
Har Simt Saqeefa Hi Saqeefa Nazar Aata.
Poet: :Mohsin Naqvi Shaheed:
Book: :Haq-e-Ailea:
#AbuTalib
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Abu Talib Mohsin Naqvi Lyrics In Urdu Musaddas
Manqabat Abu Talib Mohsin Naqvi Lyrics In Urdu