Rukh E Murtaza Khoon Mai Tarr Hai Mudassir Mehdi Lyrics In Urdu and Roman Urdu
رُخِ مرتضیٰؑ خوں مِیں تر ہے
Ghazab Hai Rukh-e-Murtaza Khoon Mein Tar Hai.
Namazi, Musalla, Abba Khoon Mein Tar Hai.
Lo Uthta Hai Hasnain Ke Sar Se Saya.
Tah-e-Taig Shair-e-Khuda Khoon Mein Tar Hai.
Na Jane Lahu Kaisay Baba Ka Dekha.
Thi Sar Par Magar Woh Rida Khoon Mein Tar Hai.
Hoi Phir Shahadat Gul-e-Panjtan Ki.
Hoi Phir Hadees-e-Kisa Khoon Mein Tar Hai.
Hain Bazu Magar Izn-e-Maula Nahi Hai.
Musalsal Kissi Ki Wafa Khoon Mein Tar Hai.
Baha Iss Qadar Khon Aal-e-Nabi Ka.
Arab Ka Har Ik Rasta Khoon Mein Tar Hai.
Koi Parda e Gaib Mein Ro Raha Hai.
Kahin Hujjat-e-Kibriya Khoon Mein Tar Hai.
Tamachay Lahu Baliyaan Our Sakina.
Thi Shabeer Ki Jo Dua Khoon Mein Tar Hai.
Ali Ne Yeh Sham-e-Ghareebaan Mein Dekha.
Hai Pehrey Pe Ik Sabira Khoon Mein Tar Hai.
:MUDASSIR: Karon Kyun Na Matam Ali Ka.
Mera Maula Mushkil Kusha Khoon Mein Tar Hai.
Poet: :Kamran Haider:
Noha Khuwan: :Syed Mudassir Mehdi:
Noha Volume: :Syed Mudassir Mehdi 2022-23:
Composition: :Akbar Abbas:
#RukhEMurtaza
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com