Aik Tehreer Uthay Boli Darbar Mein Aa Lyrics In Urdu
Aik Tehreer Uthay Boli Darbar Mein Aa Kar Zahra Logo Main Bint-e-Nabi Hoon.
Aisa Badla Hai Madina Apna Haq Mang Rahi Hoon Gasib Se.
Kalma Go Kursi Nasheen Hai Our Main Kab Se Khari Hoon.
Jitnay Dukh Main Ne Sahey Gar Woh Din Par Bhi Parin Woh Siyah Raat Bane.
Yehi Dukh Kam Tu Nahi Hai Kis Qadar Tanha Madine Mein Hoi Hoon.
Koi Sunta Hi Nahi Hai Keh Main Kya Bool Rahi Hoon.
Aisay Khamosh Ho Kyun Kehna Chaho Jo Kaho Amma Kuch Tu Bolo.
Ro Ke Boli Beton Se Sath Behno Ka Nibhana Karbal Mein.
Nangay Sar Kaisay Chalein Gi Bas Yehi Soch Rahi Hoon.
Pocha Haider Ne Bata Kya Kya Masjid Mein Howa Ro Ke Bas Itna Kaha.
Kabhi Dewaron Ko Thama Kabhi Main Khak Pe Bethi Hoon Thak Kar.
Kabhi Beton Ne Sanbhala Kabhi Rastay Mein Giri Hoon.
Woh Tu Kamsin Hai Abhi Door Hai Sham Se Bhi Seh Na Paye Gi Kabhi.
Mujh Se Zainab Ne Yeh Pocha Kahan Jati Ho Batao Aye Amma.
Main Ne Zainab Se Chupaya Keh Main Darbar Chali Hoon.
Turbat-e-Bint-e-Nabi Dekhey :AKBAR: Jo Kabhi Mujh Ko Lagta Hai Yehi.
Oss Ka Mehdi Kehta Hai Muntaqim Ban Ke Madine Zahra Ka.
Jald Aaon Ga Main Logo Door-e-Hazir Ka Ali Hoon
Poet: :Hasnain Akbar:
NohaKhuwan: :Asghar Khan:
Noha Volum: :Asghar Khan 2010-11:
Ayyam-e-Fatima Noha 2010-11
#AikTehreerUthaye
#LogoMainBinteNabiHoon
#AyyameFatima
#NohayLyrics
#tajpoint