ٹ کریں -->

Ali Ke Jah-o-Jalalat Ka Naam Hai Zainab 2009

Ali Ke Jah o Jalalat Ka Naam Hai Zainab Lyrics In Urdu 2009

Ali Ke Jah-o-Jalalat Ka Naam Hai Zainab Munawar Ali Khan.

Batooliyat Ki Tabiyat Ka Naam Hai Zainab .

Nabi Ki Aya-e-Tatheer Fatima Zahra .
Ali Ke Amar-e-Wilayat Ka Naam Hai Zainab .

-->

Gham-e-Hussain Ka Pehla Saheefa-e-Matam.
Azza Ki Pori Shariyat Ka Naam Hai Zainab .

Shareek-e-Kar-e-Hussain Ibn-e-Murtaza Jo Hoi.
Wo Deen Saaz Sharakat Ka Naam Hai Zainab .

Hassan Ki Sulha Se Sehra Ke Tishna Sajday Tak.
Har Ik Namaz Ki Niyat Ka Naam Hai Zainab .

Khud Apni Zaat Mein Wahdat Misal Hai Lekin.
Hajoom-e-Sham Kasrat Ka Naam Hai Zainab .

Diyar-e-Sham Mein Sajadiyat Ke Lashkar Ki.
Rasan Mein Qaid Qaiyadat Ka Naam Hai Zainab .

Yazeed(L) Tujh Se Yehi Bhool Ho Gayi Tu Ne.
Ye Samjha Aam Si Aurat Ka Naam Hai Zainab .

Rasan Mein Gawah Hain Abid Ki Beriyaan Shahid.
Kahin Kahin Tu Imamat Ka Naam Hai Zainab .

Meri Zuban Mein :AKBAR: Ye Hi Tauraf Hai.
Rida Ka Parde Ka Ismat Ka Naam Hai Zainab .

Poet: :Hasnain AKbar:
Manqabat Khowan: :Munawwar Ali Khan (Nomi):
Manqabat Volume: :Munawwar Ali Khan (Nomi) 2009-10:

#NaamHaiZainab
#ManqabatLyrics
#tajpoint

Write Up Ali Ke Jah-o-Jalalat Ka Naam Hai Zainab Lyrics In Urdu 2009 Poster Image

Ali Ke Jah-o-Jalalat Ka Naam Hai Zainab 2009

Video Link

اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!

اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔

error: Content is protected !!