Khuda Mohafiz-e-Quraan Hai Our Bachaye Hussain Lyrics In Urdu and Roman Urdu
خدا محافظِ قرآں ہے اور بچائے حسینؑ
Khuda Ke Waday Khuda Ki Tarha Nibhaye Hussain.
Wo Dono Phir Kabhi Tabdeel Ho Nahi Sakte.
Jise Banaye Hussain(AS) Our Jise Mitaye Hussain(AS).
Ye Kainat Tu Kun Se Banayi Khaliq Ne.
Banai Karb-o-Bala Kehke Sirf Haye Hussain(AS).
Kissi Bhi Door Mein Hote Wo Karbala Aate.
Howay The Khalq Bahatar Faqat Baraye Hussain(AS).
Ajeeb Raat Wo Guzri Thi Hur(AS) Ki Fitrat Par.
Keh Neend Oss Ko Sulaye Osse Jagaye Hussain(AS).
Abhi Abhi Fitrus Ko Main Ne Dekha Tha.
Likha Howa Tha Paron Par Hai Ye Attaye Hussain(AS).
Main Lafziyaat Ka Adam Banana Chahta Hoon.
Mujhe Bhi Chahiye Thori se Khak-e-Paye Hussain(AS).
Ali(AS) Ki Jitni Zarorat Hai Utni Ghazi(AS) Ki.
Wo Murtaza-e-Muhammad(SAWW) Hain Ye Murtaz-e-Hussain(AS).
Khud Ahl-e-Ishq Samaj Lein Gaye Naam Kis Ka Hai.
Main Sirf Sabar Hi Likh Doon Agar Bajaye Hussain(AS).
Poet: :Hasnain Akbar:
Manqabat Khuwan: :Muzammil Abbas Zaidi:
Manqabat Volume: :Muzammil Abbas Zaidi 2020-21:
Composition: :Zaheer Abbas Multan:
#KhudaMohafizeQuraan
#ManqabatLyrics
#tajpoint