Quran o Ali Ilm Ka Maiyar Hain Dono Mir Hasan Lyrics 2007
Quran o Ali Ilm Ka Maiyar Hain Dono Mir Hasan Mir.
Allah-o-Payambar Ke Madadgar Hain Dono.
Quran-o-Ali Ilm Ka Maiyar Hain Dono.
Aashiq Mere Mula Ke Hain Dono Hain Wafadar.
Ik Hazrat-e-Esa Hain Tu Ik Meesum-e-Tammar.
Haider Ki Muhabbat Mein Sar-e-Daar Hain Dono.
Khud Kehte Hain Kufaar Yeh Dawa Nahi Mera.
Siffeen Ka Lashkar Ho Ya Ho Ghaat Ka Pehra.
Ghazi Ke Liye Rait Ki Deewar Hain Dono.
Kam Aa Gayi Turbat Mein Meri Ulfat-e-Hasnain.
Apne Hi Aqeeday Ke Mile Mujh Ko Naqeerain.
Meri Tarha Mula Ke Azzadar Hain Dono.
Fitrus Yehi Kehta Howa Urta Hai Hawa Mein.
Kabay Mein Dua Mang Lo Ya Karb-o-Bala Mein.
Shabair Shehansha Ke Darbar Hain Dono.
Mare Gaye Talwar Se Jab Marhab-o-Antar.
Ashab-e-Payambar Se Kaha Maut Ne Hans Kar.
Do Aye The Maidan Mein Ab Char Hain Dono.
Ik Sajda-e-Mabood Se Munh Se Moor Raha Hai.
Ik Halqa-e-Matam Se Humein Toor Raha Hai.
Tum Kuch Bhi Kaho Asal Mein Ghadar Hain Dono.
Ik Hai Shab-e-Mairaj Payambar Se Mokhatib.
Ik Hai Sar-e-Darbar Sitamgar Se Mokhatib.
Lehjay Mein Magar Haider-e-Karar Hain Dono.
Kante Kabhi Phool Ki Tarha Ho Nahi Sakte.
Sote Hain Tu Sone Do Unhein Pas Nabi Ke.
Yeh Fatima Zahra Ke Gunahgar Hain Dono.
Abbas Ke Shagird Ali Ke Hain Nawasay.
Maut In Se Hai Darti Yeh Nahi Darte Qaza Se.
Zainab Ke Pisar Jafar-e-Teyar Hain Dono.
Ik Ko Diye Afkar Diya Ik Ko Taranum.
Woh :MIR HASAN MIR: Ho Ya :MIR TAKALLUM:.
Yeh :MIR RAZI MIR: Ke Shehkar Hain Dono.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2007-08:
#QuranoAli
#ManqabatLyrics
#tajpoint