Yeh Kon Si Basti Hai Fizza Mir Hasan Mir Lyrics 2007

Yeh Kon Si Basti Hai Fizza Mir Hasan Mir Lyrics 2007

Yeh Kon Si Basti Hai Fizza Mir Hasan Mir

Hain Sab Ki Jholiyon Mein Pathar Yeh Kon Se Basti Hai Fizza.
Hota Hai Charagaan Kyun Ghar Ghar Yeh Kon Se Basti Hai Fizza.

Pocho Tu Zara Amma In Se Kyun Dekhne Hum Ko Aate Hain.
Har Samt Khushi Ka Aalam Hai Bazar Sajaye Jate Hain.
Kyun EID Ke Jaisa Hai Manzar Yeh Kon Se Basti Hai Fizza.

Sajjad Ki Aankhon Se Ab Tak Aanso Hi Baraste Dekhe Thay.
Ab Dekh Rahi Hoon Main Osski Aankhon Se Musalsal Khoon Behtay.
Pocho Tu Kissi Se Yeh Ja Kar Yeh Kon Se Basti Hai Fizza.

Baghi Aaye Baghi Aaye Yeh Kaisi Manadi Hoti Hai.
Lagta Hai Zamane Bad Koi Iss Shehar Mein Shadi Hoti Hai.
Kuch Aise Sajay Hain Bam-o-Dar Yeh Kon Se Basti Hai Fizza.

Hum Sab Ke Saron Se Behte Hain Kis Wastay Yeh Khoon Ke Dharay.
Koi Kholta Pani Phainkta Hai Koi Phaink Raha Hai Angaray.
Sab Mil Kar Marte Hain Pathar Yeh Kon Se Basti Hai Fizza.

Wadah Jo Kiya Tha Yasrab Mein Aata Hai Yaad Wohi Wadah.
Mehsoos Mujhe Yeh Hota Hai Takta Hai Koi Mera Rasta.
Kya Sheerin Ka Hai Paas Mein Ghar Yeh Kon Se Basti Hai Fizza.

Quran Sunatay Jate Thay Shabir Sar-e-Nook-e-Naiza.
Rota Tha :TAKALLUM: Ibn-e-Ali Jab Pochtin Thin Bint-e-Zahra.
Kyun Girta Hai Abbas Ka Sar Yeh Kon Se Basti Hai Fizza.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2007-08:

Yeh Kon Si Basti Hai Fizza Mir Hasan Mir Lyrics 2007 Write Up Poster Image

Yeh Kon Si Basti Hai Fizza Mir Hasan Mir Lyrics 2007

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
Best Wordpress Adblock Detecting Plugin | CHP Adblock
error: Content is protected !!