Dasht Mein Ibn-e-Hassan Par Waqt Kaisa Lyrics 2014

Dasht Mein Ibn e Hassan Par Waqt Kaisa Lyrics 2014

Dasht Mein Ibn-e-Hassan Par Waqt Kaisa Aa Giya Mir Hasan Mir.

Aik Gathri Mein Faqat Qasim Ka Lasha Aa Giya.

Char Kandho Par Janaza Ghar Mein Atta Hai Magar.
Aik Hi Kandhe Pe Yeh Kis Ka Janaza Aa Giya.

Jis Tarha Chunta Hai Mali Phol Apne Bag Ke.
Tukre Youn Qasim Ke Chunne Mera Maula Aa Giya.

Choom Kar Taweez Sarwar Dair Tak Rote Rahe.
Bahi Ke Lafzo Mein Jane Yaad Kya Kya Aa Giya.

Aa Gayi Barat Ran Se Ro Ke Fiza Ne Kaha.
Bebiyo Tazeem Ko Uth Jao Dulha Aa Giya.

Lash Ko Tarteeb Jab Dene Laga Zahra Ka Lal.
Barha Maula Ki Aankhon Mein Andehra Aa Giya.

Baap Ka Taweez Tha Baite Ke Bazo Par Bandah.
Iss Liye Pehchan Mein Qasim Ka Lasha Aa Giya.

Matami Ke Ghar Mein :AKBAR: Jab Koi Dulha Bana.
Yaad Sab Ko Karbala Wale Ka Sehra Aa Giya.

Poet: :Hasnain Akbar:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2014-15:

#DashtMeinIbneHassan
#NohayLyrics
#tajpoint

Write Up Dasht Mein Ibn-e-Hassan Par Waqt Kaisa Lyrics 2014 Poster Image

Dasht Mein Ibn-e-Hassan Par Waqt Kaisa Lyrics 2014

Video Link
Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!