Qasim Ibn e Hasan Hoon Page 2 Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu

Qasim Ibn e Hasan Hoon Page 2 Mir Hasan Mir Lyrics In Urdu

قاسمِؑ ابنِ حسنؑ ہوں Page-2

10- Aaya Hai Shair Ran Mein Giza Lo Ruko Ruko.
Jate Kahan Ho Barchiyon Walo Ruko Ruko.
Baiyat Ke Ankbot Ke Jalo Ruko Ruko.
Pehle Jamal Ki Gaud Ke Palo Ruko Ruko.
Khani Hai Jang Tum Ne Sheh Mashreqain Se.
Hum Se Bacho Gaye Jab Tu Laro Gay Hussain Se.
11- Yeh Keh Ke Shair-e-Nar Ne Charhai Jo Aasteen.
Ulti Maiyan-e-Dasht Safon Par Safein Laeen.
Rahi Saqar Ke Hone Lagay Dushmanan-e-Dein.
Hamlay Mein Woh Dhamak Thi Keh Hilney Lagi Zameen.
Ran Ki Zameen Cheekh Ke Boli Duhai Hai.
Ya Rab Abu Turab Ki Kis Se Larai Hai.
12- Abbas-e-Namdar Se Harf-e-Dua Liya.
Lashkar Samait Shair Ne Ran Ko Utha Liya.
Haibat Se Kohsaron Ne Sar Ko Jhuka Liya.
Rustam Ne Apne Munh Ko Kafan Mein Chupa Liya.
Maula Ali Ka Rang-e-Waga Yaad Aa Gaya.
Maidaan Mein Kafiron Ko Khuda Yaad Aa Gaya.
13- Aayi Sada Najaf Se Mera Naam Dam Karo.
Meri Hi Tarha Harf-e-Shujat Raqam Karo.
Dada Ki Jan Taig Ki Raftar Kam Karo.
Maidan Tum Ne Jeet Liya Hai Na Gham Karo.
Hasrat Ke Ashk Ban Ke Sab Arman Beh Na Jaye.
Iss Imtehan Mein Malak Al-Maut Reh Na Jaye.
14- Fojon Mein Gul Howa Keh Gayi Zindagi Ki Nao.
Panjay Se Hum Ko Shair-e-Nayastan Ke Churao.
Uzza Hobul Manat Kahan Mar Gaye Batao.
Teeno Ko De Rahe They Sada Aao Aao Aao.
Hum Muntashir Safon Ki Jo Tanzeem Kartay Hain.
Qasim Hamarey Jismo Ko Taqseem Kartay Hain.
15- Narah Tha Dasht Mein Umar-e-Badkhisal Ka.
Lo Shamiyon Pe Aa Gaya Lamha Zawwal Ka.
Yeh Bazuon Ka Zoor Yeh Hamla Kamal Ka.
Lagta Hai Yeh Jawan Hai Batees Saal Ka.
Abbas-e-Namwar Ko Sheh Mashreqain Ne.
De Di Riza Jehad Ki Shayad Hussain Ne.
16- Youn Misal-e-Zulfiqar Chali Taig-e-Be Amma.
Girney Lagay Zameen Pe Choti Ke Pehalwaan.
Haibat Woh Thi Keh Jis Se Laraztay They Aasmaan.
Ik Harf-e-Buzdili Ka Safar Tha Zabaan Zabaan.
Bhago Khuda Ke Shair Ke Akas Aaye Hain.
Qasim Nahi Yeh Hazrat-e-Abbas Aaye Hain.
17- Woh Paikar-e-Nifaq Woh Arziq Woh Feel-e-Mast.
Apni Ajal Ka Kartay Hoye Khud Hi Bandobast.
Beton Ke Dagh Utha Ke Jo Aaya Laga Ke Jast.
Aayi Sada Najaf Se Mere Lal Do Shikast.
Har Haal Mein Laeen Ki Gardan Marorna.
Yeh Munkir-e-Ghadeer Hai Iss Ko Na Chorna.
Poet: :Bilal Kazmi:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2021-22:
Composition: :Akbar Abbas:
#QasimIbneHasanHoon
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com

Leave a Comment

Ads Blocker Image Powered by Code Help Pro

Ads Blocker Detected!!!

We have detected that you are using extensions to block ads. Please support us by disabling these ads blocker.

Powered By
100% Free SEO Tools - Tool Kits PRO
error: Content is protected !!