Dost Ghamkhowari Mein Meri Saei Farmawein Gay Kya Lyrics In Urdu 2017

Dost Ghamkhowari Mein Meri Saei Farmawein Gay Kya Lyrics In Urdu 2017

Dost Ghamkhowari Mein Meri Saei Farmawein Gay Kya.

Zakhm ke Bharte Talak Nakhun Nah Barh Jawein Gay Kya?

Be Niyazi Had Se Guzri Bandah Parwar Kab Talak.
Hum Kahein Gay Haal-e-Dil Our Aap Farmawein Gay Kya?

Hazrat-e-Naseh Gar Aawein Deedah-o-Dil Farsh-e-Raah.
Koi Mujh Ko Ye Tu Samjah Do Keh Samjahwein Gay Kya?

Aaj Waan Taig-o-Kafan Bandhe Howay Jata Hoon Main.
Uzar Mere Qatal Karne Mein Woh Aab Lawein Gay Kya?

Gar Kiya Naseh Ne Hum Ko Qaid Acha Youn Sahi.
Yeh Jonoon-e-Ishq Ke Andaaz Chut Jawein Gay Kya?

Khana Zaad-e-Zulf Hain Zanjeer Se Bhaag Gay Kyun?
Hain Girftar-e-Wafa Zindaan Se Ghabrawein Gay Kya?

Hai Aab Iss Mamorah Mein Qeht-e-Gham-e-Ulfat :ASAD:.
Hum Ne Ye Mana Keh Dilhi Mein Rahein Khawein Gay Kya?

Poet: :Mirza Asadullah Khan Ghalib:

#DostGhamkhowariMein
#GhazalLyrics
#tajpoint

Dost Ghamkhowari Mein Meri Saei Farmawein Gay Kya Lyrics In Urdu 2017 Write Up Poster Image

Dost Ghamkhowari Mein Meri Saei Farmawein Gay Kya Lyrics In Urdu 2017

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :

Leave a Comment

error: Content is protected !!