Main Iltefat-e-Yaar Ka Qaiyal Nahi Hoon Dost Lyrics In Urdu and Roman Urdu
مَیں اِلتفاتِ یار کا قائل نہیں ہوں دوست
Sone Ke Narm Taar Ka Qaiyal Nahi Hoon Dost.
Mujh Ko Khizaan Ki Aik Luti Raat Se Hai Pyar.
Main Ronaq-e-Bahar Ka Qaiyal Nahi Hoon Dost.
Har Shaam-e-Wasl Ho Nayi Tamheed-e-Aarzo.
Itna Bhi Intezar Ka Qaiyal Nahi Hoon Dost.
Do Char Din Ki Baat Hai Ye Zindagi Ki Baat.
Do Char Din Ke Pyar Ka Qaiyal Nahi Hoon Dost.
Jiss Ki Jhalak Se Manind Ho Ashkon Ki Aabro.
Oss Motiyon Ke Haar Ka Qaiyal Nahi Hoon Dost.
Laya Hoon Be Hisab Gunahoon Ki Aik Fard.
Mehboob Hoon Shumar Ka Qaiyal Nahi Hoon Dost.
:SAGAR: Baqadr-e-Zarf Lutata Hoon Naqd-e-Hoash.
Saqi Se Main Udhar Ka Qaiyal Nahi Hoon Dost.
Poet: :Sagar Siddiqui:
#QaiyalNahiHoonDost
#GhazalLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com