Hussain Ghaiz Mein Hai 1-6 Mir Hasan Lyrics Urdu
Hussain Ghaiz Mein Hai 1-6.
Aaj Maidaan Mein Hussain(AS) Ibn-e-Ali(AS) Ghaiz Mein Hain.
Fatima(SA) Ghaiz Mein Hain Haq Ke Wali Ghaiz Mein Hain.
Sath Shabir(AS) Ke Jitne Hain Sabhi Ghaiz Mein Hain.
Aisa Lagta Hai Sawa Lakh Nabi(AS) Ghaiz Mein Hain.
Apni Talwar Se Bazi Ye Palat De Ga Hussain(AS).
Aaj Maidaan Ko Jahanum Mein Ulat De Ga Hussain(AS).
Faisla Kun Mere Mula(AS) Ki Larai Ho Gi.
Khon Mein Tar Abhi Darya Ke Tarai Ho Gi.
Maut Ke Sar Pe Ghata Maut Ki Chayi Ho Gi.
Aise Maidan Se Har Saf Ki Safai Ho Gi.
Dein Gaye Kofe Mein Khabar Bhag Ke Jane Wale.
Bhago Bhago Yahan Shabir(AS) Hai Aane Wale.
Abhi Khul Jaye Ga Shabir(AS) Akele Kya Hain.
Hashmi Shair Ke Aagay Ye Darinde Kya Hain.
Samne Qamate Touheed Ke Bole Kya Hain.
Sham Ke Sorma Apne Ko Samjhte Kya Hain.
Ho Ga Iss Shan Se Hamla Asad-e-Talib(AS) Ka.
Kalma Parh Parh Ke Marein Gaye Yeh Abu Talib(AS) Ka.
Ho Gayi Jang Pe Aamadah Khuda Ki Qudrat.
Ghaiz Ko De Ke Jagah Hat Gayi Piche Rehmat.
Pyar Se Baat Ki Lekin Nahi Samjhi Umat.
Cheh Mahine Se Bohat Shor Tha Bayat Bayat.
Taig Kuch Dair Mein Jab Ibn-e-Ali(AS) Khole Ga.
Koi Bayat Tu Kuja :Be: Bhi Nahi Bole Ga.
Aastino Ko Ulate Hain Hussain(AS) Ibn-e-Ali(AS).
Murtajeez Se Yahan Shamsheer Ali(AS) Ki Boli.
Sath Dena Hai Tujhe Mera Aye Rahwar-e-Nabi(SAWW).
Aakhri Jang Hai Ye Qabl-e-Zahoor-e-Mehdi(AS).
Aaj Har Munkir-e-Mula(AS) Ko Jakarna Ho Ga.
No Imamo(AS) Ki Taraf Se Mujhe Larna Ho Ga.
Murtajeez Bola Mujhe Bhi Nahi Aata Hai Qarar.
Sheh(AS) Ki Nusrat Ke Liye Main Hoon Azal Se Teyar.
Dekh Chehre Pe Nomaya Hai Ghazab Ke Aasar.
Jhurata Hoon Main Khak Apne Somo Se Har Bar.
Shamiyo Ko Hai Batani Mujhe Had Bayat Ki.
Paon Se Khod Raha Hoon Main Lahad Bayat Ki.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2015-16: