Hussain Ghaiz Mein Hai 7-12 Mir Hasan Lyrics Urdu
Hussain Ghaiz Mein Hai 7-12.
Allah Allah Re Shabir(AS) Ki Aafat Ka Jalal.
Taigein Kham Hoti Hain Halat Hoi Jati Hai Nidhal.
Asar Se Pehle Howa Jata Hai Lashkar Ka Zawal.
Shimar Kholi Umar-e-Saad Sabhi Be Haal.
Khoof Se Aata Nahi Hai Bin-e-Kahil Ran Mein.
Chupe Phirte Hain Alamdar(AS) Ke Qatil Ran Mein.
Keh Ke Ya Zahra(SA) Jo Mula(AS) Ne Nikali Talwar.
Dar Gaye Dekh Ke Kuch Loag Nirali Talwar.
Kuch Ne Choron Ki Tarha Piche Chupa Li Talwar.
Boli Ye Sham Ke Lashkar Se Jalali Talwar.
Waar Se Apne Sabhi Fitne Karon Gi Tukre.
Gin Na Paye Gi Qaza Itne Karon Gi Tukre.
Afratafree Thi Wo Bhagdar Thi Wo Hulchul Tauba.
Khon Se Aisi Bani Dasht Mein Daldal Tauba.
Apne Halat Pe Khud Karta Tha Maqtal Tauba.
Keh Raha Tha Malak-al-Maut Musalsal Tauba.
Khud Ko Girte Howay Har Bar Sanbhala Oss Ne.
Sar Bachate Howay Rohoon Ko Nikala Oss Ne.
Dekh Kar Taig-e-Do Sar Nehar Se Sar Ke Zalim.
Bhagte Phirte Hain Sab Lashkar-e-Shar Ke Zalim.
Jaein Tu Jaein Kahan Shah(AS) Se Dar Ke Zalim.
Ghat Ke Baqi Rahe Our Na Ghar Ke Zalim.
Ghar Mein Bhi Ghusne Na Aab Dein Gaye Inhein Ghar Wale.
:Kaf: :Te: :Ye: Se Badtar Howay Lashkar Walay.
Dam Nikalta Tha Kissi Ka Koi Be Dam Dekha.
Sakht Gharmi Mein Ajab Sardi Ka Aalam Dekha.
Khon Jamte Howay Sharyano Mein Peham Dekha.
Foaj Mein Jis Ko Uthaye Howay Parcham Dekha.
Qatal-e-Abbas(AS)-e-Alamdar(AS) Ka Qazi Bankar.
Sheh(AS) Ne Woh Hath Qalam Kar Diya Ghazi(AS) Bankar.
Maut Bhi Raqs Mein Thi Kaisa Ajab Tha Manzar.
Aik Anbar Tarai Pe Tha Lashon Ka Udhar.
Ye Sama Dekhne Thehri Hoi Sab Ki Thi Nazar.
Khoaf Se Nehar Mein Jo Doob Gaye The Ja Kar.
Mojein Kehti Thi Unhein Maar Ke Thokar Niklo.
Dushman-e-Hazrat-e-Shabir(AS) Ho Bahir Niklo.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Manqabat Volume: :Mir Hasan Mir 2015-16:
Jang e Imam Hussain AS Hussain Ghaiz Mein Hai