Sham Ne Maar Diya Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2011

Sham Ne Maar Diya Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2011

Sham Ne Maar Diya Mir Hasan Mir.

Jab Tak Bhi Rahe Zindah Sajjad Ka Noha Tha.
Sham Ne Maar Diya Mujhe Sham Ne Maar Diya.

Kaise Na Bahe Khoon Aankhoon Se Khanjar Hi Chala Hai Aysa.
Dam Meri Jawani Toor Chuki Bazaar Hai Maqtal Mera.
Wallah Main Zindah Hoon Kehne Ke Liye Warna.

Phir Jata Hai Meri Nazroon Mein Bazaar-e-Shaam Ka Manzar.
Mehsoos Yeh Hota Hai Mujh Ko Hain Sath Phophi Be Chadar.
Te Mujh Se Nahi Hota Bazar Madine Ka.

Kehti Hai Shariyat Sar Na Khule Awaaz-e-Azaan Jab Aye.
Par Ahl-e-Haram Sar Par Apne Hatho Ko Bhi Rakh Na Paye.
Rasi Ne Aseeron Ko Iss Tarha Se Jakra Tha.

Meraas Shahadat Hai Meri Kya Ye Mera Wirsa Tha.
Phophiyon Ko Liye Jo Be Chadar Iss Shehar Se Main Guzra Tha.
Sajjad Ka Maqtal Hai iss Shehar Ka Har Kocha.

Jab Hath Dua Ko Uthte Hain Dil Gham Se Mera Phatta Hai.
Aati Hai Sakina Yaad Mujhe Mehsos Yehi Hota Hai.
Jaise Mere Hathon Par Rakha Hai Koi Lasha.

Gar Ahl-e-Madina Tum Apne Ghar Mujhe Bulana Chaho.
Khushiyon Mein Kabhi Aa Sakta Nahi Majlis Ka Farsh Bichao.
Baqi Nahi Khushiyon Se Ab Koi Mera Rishta.

Bazar Mein Zainab Ka Jana Kya Moat Se Kam Izza Thi.
Kyun Zehar Diya Zalim Mujh Ko Ab Iss Ki Zarorat Kya Thi.
Pehle Hi :TAKALLUM: Jab Kehta Tha Mera Maula.

Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2011-12:

#ShamNeMaarDiya
#NohayLyrics
#tajpoint

Sham Ne Maar Diya Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2011 Write Up Poster Image

Sham Ne Maar Diya Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2011

Video Link
error: Content is protected !!