Kar Rahi Hain Safar Samandar Mein Lyrics In Urdu 2017

Kar Rahi Hain Safar Samandar Mein Lyrics In Urdu 2017

Kashtiyaan Kiss Qadar Samandar Mein.

Apni Kismat Mein Itne Chakar Hain.
Jiss Qadar Hain Bhawar Samandar Mein.

Loag Sehra Mein Khaima Zan Hain Bohat.
Hum Banaein Gay Ghar Samandar Mein.

Sipiyon Ko Na Chaan Sahil Par.
Hosla Kar Utar Samandara Mein.

Jo Kissi Toor Phal Nahi Deta.
Phenk Do Wo Shajar Samandar Mein.

Shehar Aabaad Kar Rahe Hain Loag.
Kuch Na Kuch Soch Kar Samandar Mein.

Qatal Youn Bhi :AZAI: Hone Lage.
Jism Jangal Mein Sar Samandar Mein.

Poet: :Ijaz Azai:

#KarRahiHainSafar
#GhazalLyrics
#tajpoint

Kar Rahi Hain Safar Samandar Mein Lyrics In Urdu 2017 Write Up Poster Image

Kar Rahi Hain Safar Samandar Mein Lyrics In Urdu 2017

Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :

Leave a Comment

error: Content is protected !!