Aata Hai Tishnagi Ka Samandar Furat Par.
آتا ہے تشنگی کا سمندر فرات پر
Tazeem Mojein Karti Hain Uth Kar Furat Par.
Youn Dosh Par Uthaye Hai Mashkeeza Ba-Wafa.
Jaise Khare Hoon Fatahe Kahibar Furat Par.
Pani Ko Dekhta Nahi ALLAH Re Wafa.
Pyasa Khara Hai Shair-e-Dilawar Furat Par.
Ab Kis Mein Dam Hai Cheene Jo Mahar-e-Batool Ko.
Rehta Hai Ibn-e-Saqi-e-Kausar Furat Par.
Pehle Hata Tha Shair Woh Hukam-e-Imam Tha.
Ab Aa Ke Dekhe Koi Sitamgar Furat Par.
Sahil Pe Aa Ke Lehrein Bhi Dam Toorne Lagin.
Tari Hai Aisa Roab Ghazanfar Furat Par.
Yeh Keh Ke Hath Chomein Hain Ghazi Ke Ishq Ne.
Gara Hai Tu Ne Parcham-e-Haider Furat Par.
Ghazi Ko De Dua Tujhe Ruswa Nahi Kiya.
Ab Mustaqil Hai Pyas Tera Ghar Furat Par.
Aab-e-Hayat Lene :TAKALLUM: Dalear Se.
Aate Hain Khizar Jaise Payamber Furat Par.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khuwan: :Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Manqabat Volume: :Mukhtar Hussain Fatehpuri 2019-20:
Composition: :Syed Izhar Hussain Fatehpuri:
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com