Kash Main Door-e-Payamber Mein Uthaya Jata Lyrics In Urdu 2013
Kash Main Door-e-Payamber Mein Uthaya Jata.
Ba-Khuda Qadmo Mein Sarkar Ke Paya Jata.
Sath Sarkar Ke Ghazwaat Mein Shamil Hota.
Un Ki Nusrat Mein Laho Mera Bahaya Jata.
Rait Ke Zaroon Mein ALLAH Badal Deta Mujhe.
Phir Mujhe Rah-e-Muhammad Mein Bichaya Jata.
Khak Ho Jata Main Sarkar Ke Qadmo Ke Tale.
Khak Ko Khak-e-Madina Mein Milaya Jata.
Mill Ke Sab Loag Mujhe Mati Se Gara Karte.
Phir Mujhe Masjid-e-Nabvi Mein Lagaya Jata.
Kash Aye Kash Main Hota Koi Aisi Lakri.
Jis Ko Sarkar Ke Minbar Mein Lagaya Jata.
Un Ke Roze Ke Dar-o-Baam Sajane Ke Liye.
Rozno Mein Meri Aankhon Ko Lagaya Jata.
Laya Jata Sar-e-Darbar Aseeron Ki Tarha.
Hukam Par Un Ke Main Aazaad Karaya Jata.
Ya Utarta Kissi Naat Ke Misray Ban Kar.
Robaro Un Ke Main Un Ko Hi Sunaya Jata.
Hote Oss Door Ka Qisa Koi :NOOR:-o-:FARHAN:.
Aaj Ke Door Mein Bachon Ko Parhaya Jata.
Poet: :Noor Ali Noor:
Naat Khuwan: :Syed Farhan Ali Waris:
Naat Release: :2013:
#KashMainDoorePayamber
#NaatLyrics
#tajpoint