Sar Khushi Sar Mastiyon Ke Ho Gaye Saman Aaj Lyrics In Urdu and Roman Urdu
سر خوشی سرمستیوں کے ہو گئے سامان آج
Midhat-e-Shabar Takallum Ke Howay Unwaan Aaj.
Aa Giya Quran-e-Natiq Fatima KI Gaud Mein.
Dein Mubarik Syeda Ko Khalq Ke Sultan Aaj.
Sorah-e-Kausar Ki Hai Tafseer Farzand-e-Rasool.
Kasrat-e-Aal-e-Nabi Ka Ho Giya Elan Aaj.
Haan Ali Ke Ghar Ki Norani Fiza Tu Dekhiye.
Hai Zameen Pe Ghar Ali Ka Arsh Ke Humshan Aaj.
Hazrat-e-Adam SAe Le Kar Taba Isa Sab Ke Sab.
Anbiya Hai Saf Ba Saf Soye Harm Mehman Aaj.
Ho Giya Pehle Wali-e-Haq Ke Waris Ka Zahoor.
Raqs Mein Kashana-e-Haider Pe Hain Rizwan Aaj.
Mazhar-e-Noor Azal Hai Chehra-e-Shabar Ka Noor.
Is Pe Hai Qurban Husan-e-Yousuf Kunaan Aaj.
Wajd Mein Aa Kar Dar-e-Zahra Pe Parhte Hain Darood.
Bozar,Miqdad,Jabir,Qanbar-o-Salman Aaj.
Fatima Ke Lal Se Ubhre Gi Nasal-e-Mustafa.
Dil Pakar Kar Reh Gayi Hai Milat-e-Marwan Aaj.
Ahl-e-Eman Hain Jo Sar Shar Wila-e-Panjtan.
Kaif-o-Masti Ka Hai Un Sab Par Niya Wajdan Aaj.
Khuld Mein :MUMTAZ: Hain Mamnon-e-Rab-e-Zulmanan.
Fatima Bint-e-Asad Our Hazrat-e-Imran Aaj.
15 Ramzan Jasahn-e-Zahoor Imam Hassan Mujtaba
Poet: :Khalique Hussain Mumtaz:
Book: :Taqleed-e-Mowaddat:
#ImamHasan
#ManqabatLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com