Kya Mere Jawaan Lal Ke Mar Jane Ke Din The Mir Hasan Lyrics 2016
Kya Mere Jawaan Lal Ke Mar Jane Ke Din The Mir Hasan Mir.
Jeeti Hai WOh Maa Jis Ke Guzar Jane Ke Din The.
Kya Mere Jawaan Lal Ke Mar Jane Ke Din The.
Thi Jo Hamare Ghar Mein Nishani Rasool Ki.
Zainab Rida Mein APni Jise Palti Rahi.
Uth Uth Ke Jis Ko Chomte Rehte The Raat Bhar.
Shabir Ji Rahe The Jise Dekh Dekh Kar.
Oss Chehre Ke Kya Khak Mein Bhar Jane Ke Din The.
Piyase Ko Maar Kar Bhi Na Zalim De Dam Liya.
Sar Iss Ka Mere Samne Oss Ne Qalam Kiya.
Aaram Thori Dair Bhi Paya Na Khak Par.
Haye Phir Se Shorow Ho Giya Iss Lal Ka Safar.
Bazar Mein Kab Chand Sa Sar Jane Ke Din The.
Aya Yeh Jab Jahan Mein Phophi Ne Khushi Khushi.
Aazad Ik Kaneez Thi Ki Sheerein Naam Ki.
Our Sath Sath Yeh Bhi Kaha Tha Na Fikar Kar.
Barat Le Ke Aaon Gi Iss Ki Main Tere Ghar.
Pohancha Wahan Na Oss Ke Jidhar Jane Ke Din The.
Lag Jaye Na Nazar Mere Yousuf Jamal Ko.
Dekha Nazar Na Bhar Ke Kabhi Apne Lal Ko.
Hai Gaisoyon Mein Khak Koi Saaf Tu Karo.
Zainab Ki Main Kaneez Hoon Insaf Tu Karo.
Barchi Kahan Woh Dil Mein Utar Jane Ke Din The.
Nazuk Badan Pe Zakhm Na Aane Diya Kabhi.
Main Ne Na Oss Ko Dhoop Mein Jane Diya Kabhi.
Naizay Pe Sar Hai Aaj Badan Jalti Rait Par.
Pardais Mein Yeh Aa Kar Nahi Thi Mujhe Khabar.
Mehnat Ki Kamai Youn Bikhar Jane Ke Din The.
Wadah Kiya Tha Sar Pe Jo Sehra Sajaon Ga.
Ghabra Na Sughra Main Tujhe Lene Ko Ayon Ga.
Dehleez Par Hai Bethi :TAKALLAUM: Woh Ghamgusar.
Cheh Maa Se Hai Oss Ko Baradar Ka Intezar.
Pardais Se Yeh Loat Ke Ghar Jane Ke Din The.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2016-17:
#KyaMereJawaanLal
#NohayLyrics
#tajpoint