Mar Gaya Zainab Mera Sher e Jawan Mir Hasan Mir Lyrics Urdu 2024
Mar Gaya Zainab Mera Sher e Jawan Mir Hasan Mir
Lash-e-Abbas Pe Pohanchay Jo Ghareeb-e-Zahra Bhai Ki Lash Pe Ik Bhai Ne Noha Yeh Kiya.
Mar Gaya Zainab Mera Shair-e-Jawaan.
Lash-e-Alamdar Pe Sheh Ne Kaha Mar Gaya Zainab Mera Shair-e-Jawaan.
Mujh Se Juda Ho Gaya Bhai Mera Mar Gaya Zainab Mera Shair-e-Jawaan.
Chor Do Akbar Mera Bazu Zara Karne Do Matam Humein Abbas Ka.
Ho Gaye Bazu Qalam Shair-e-Jawaan Mar Gaya Ab Nahi Jeene Ke Hum Shair-e-Jawaan Mar Gaya.
Dasht Mein Bin Bhai Ke Hum Ho Gaye Aaj Se Be Aas Haram Ho Gaye.
Lut Gayi Sarkar Sab Shair-e-Jawaan Mar Gaya Ho Gaya Kaisa Ghazab Shair-e-Jawaan Mar Gaya.
Parda e Sadaat Ka Zamin Gaya Zoor-e-Kamar Ghat Gaya Mazloom Ka.
Khak Uraein Gay Hum Shair-e-Jawaan Mar Gaya Ghar Nahi Jaein Gay Hum Shair-e-Jawaan Mar Gaya.
Ho Gaya Pardais Mein Barbad Ghar Lag Gayi Abbas Ko Kis Ki Nazar.
Phir Se Ali Chut Gaye Shair-e-Jawaan Mar Gaya Aal-e-Nabi Lut Gaye Shair-e-Jawaan Mar Gaya.
Loot Lo Sadaat Ko Ab Loot Lo Qaidi Bana Kar Inhein Bas Le Chalo.
Shoor Yeh Fojon Mein Hai Shair-e-Jawaan Mar Gaya Thartharai Mojon Mein Hai Shair-e-Jawaan Mar Gaya.
Gham Se Kaleja Mera Sad Chak Hai Jeene Pe Mazloom Ke Ab Khak Hai.
Chalti Hai Dil Par Churi Shair-e-Jawaan Mar Gaya Khatam Hoi Zindagi Shair-e-Jawaan Mar Gaya.
Kis Ko Dikhaon Main Kalejay Ke Dagh Ho Gaya Gul Qabar-e-Ali Ka Charag.
Kaisi Howa Yeh Chali Shair-e-Jawaan Mar Gaya Shamay Wafa Bujh Gayi Shair-e-Jawaan Mar Gaya.
Sheh Soye Khaima Jo :TAKALLUM: Chaley Mashk-o-Alam They Ali Akbar Liye.
Lab Pe Tha Noha Yehi Shair-e-Jawaan Mar Gaya Pani Na Mangay Koi Shair-e-Jawaan Mar Gaya.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2024-25:
Composition: :Raza Shah:
#MarGayaZainab
#NohayLyrics
#tajpoint