Mana Ke Hain Azeem Shah-e-Lafatah Ke Gham Lyrics In Urdu 2017
Mana Ke Hain Azeem Shah-e-Lafatah Ke Gham.
Aate Nahi Shumar Mein Zain-ul-Ibba Ke Gham.
Seene Mein Zakhm Qasim-o-Akbar Ki Maut Ke.
Oss Par Rasool Zadi Ki Lutti Rida Ke Gam.
Asghar Se Sheer Khowar Ke Chalni Galay Ke Dard.
Bazoo Kata Ke Soye Howay Ik Bawafa Ke Gham.
Shimar-e-Laeen Ne Sajday Mein Jiss Ko Kiya Shaheed.
Bemar Ko Rulaein Gay Oss Na Khuda Ke Gham.
Jab Sare Jaan Nisaar Sar-e-Dasht Kat Gire.
Abid Ko Ghairne Lage Phir Inteha Ke Gham.
Jalte Khaiyam Be Sar-o-Saman Bibiyaan.
Aal-e-Nabi Pe Aye Hain Yeh Kis Bala Ke Gham.
Sajjad Ne Jo Dekhe Hain Bazaar-e-Shaam Mein.
Thore Hain Unn Ke Samne Sab Nainwa Ke Gham.
Jab Tak Jiya Hussain Ke Baitay Ko Bakhuda.
:SAHIL: Laho Rula Gaye Aal-e-Abba Ke Gham.
Salam: :Mula Sajjad:
Poet: :Irfan Sahil Gujranwala:
#JabPareshanKabhi
#SalamLyrics
#tajpoint
Mana Ke Hain Azeem Shah-e-Lafatah Ke Gham Lyrics In Urdu 2017 Write Up Poster Image
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
اپنا کلام HD پوسٹر میں بنائیں!
اپنے کلام یا نوحے کا خوبصورت اور معیاری ایچ ڈی (HD) پوسٹر بنانے کے لیے ہمارا فری ٹول استعمال کریں۔
