Ghareeb Bhai Ka Chehlum Mana Rahi Hai Behan Lyrics In Urdu and Roman Urdu
غریب بھائی کا چہلم منا رہی ہے بہن
Lahad Pe Bhai Ke Aansu Baha Rahi Hai Behan.
Pohanch Ke Bhai Ke Jageer Mein Na Zabt Raha.
Ke Khud Ko Naqay Se Apne Gira Rahi Hai Behan.
Yeh Qabar-e-Sheh Se Sada Aayi Arbaeen Ke Rooz.
Hato Hato Zara Jabar Ke Aa Rahi Hai Behan.
Youn Muztarib Hai Biyban-e-Nainwa Ki Fiza.
Ke Jaise Khak Hawa Mein Urra Rahi Hai Behan.
Lipat Ke Bhai Ki Turbat Se Qaid Khane Ka.
Tamam Haal Bilak Kar Suna Rahi Hai Behan.
Padar Ke Seene Pe Sote Ho Tum Ali Asghar.
Waan Qaid Khane Mein Tum Ko Bula Rahi Hai Behan.
Har Aik Lamha Bapa Kar Ke Majlis-o-Matam.
Aza-e-Sheh Ka Saleeqa Sikha Rahi Hai Behan.
Nahi Hai Jaan Badan Mein Na Aarzu Dil Mein.
Na Jane Kaise Madine Ko Ja Rahi Hai Behan.
Chalo Chalo Zara Paidal Chalo Aye Zawwaro.
Ghareeb-e-Zahra Ki Tum Ko Bula Rahi Hai Behan.
Qalam Ko Roko :HASAN KAZMI:, :ALI MEHDI:.
Ke Gash Hussain Ki Turbat Pe Kha Rahi Hai Behan.
Poet: :Hasan Kazmi:
Noha Khuwaan: :Syed Ali
Mehdi,Anjuman-e-Parcham-e-Abbas:
Mehdi,Anjuman-e-Parcham-e-Abbas:
Noha Volume: :Syed Ali Mehdi 2019-20:
New Nohay Lyrics 1441 Hijri 2019
#NohayLyrics
#tajpoint
Like TAJPOINT :: Facebook Page :
www.fb.com/tajpointpage
Subscribe TAJPOINT :: Youtube Channel :
www.youtube.com/tajpointpage?sub_confirmation=1
Follow TAJPOINT :: On Twitter :
www.twitter.com/tajpointpage
Visit TAJPOINT :: Official Website :
www.tajpoint.com