Maqam-e-Sahib Az-Zaman Hai Yeh Mir Hasan Lyrics Urdu 2015
Maqam-e-Sahib Az-Zaman Hai Yeh Mir Hasan Mir.
Na Iss Maqam Pe Kyun Askari Ka Chain Gire.
Yeh Woh Zameen Hai Jahan Zeen Se Hussain Gire.
Issi Maqam Pe Ab Tak Furat Roti Hai.
Gale Lipat Ke Qaza Se Hayat Roti Hai.
Tamam Karb-o-Bala Sath Sath Roti Hai.
Hai Aik Maa Jo Yahan Sari Raat Roti Hai.
Issi Maqam Se Ghazi Ko Sheh N Di Thi Sada.
Na Daikha Tum Ne Hamari Larai Ko Bahiya.
Yeh Keh Rahe The Keh Bas Hurmala Ka Teer Laga.
Ghareeb-e-Zahra Yahan Zeen Par Sanbhal Na Saka.
Har Aik Imam Ko Khoon Iss Jagah Rolaya Giya.
Jo Shamiyo Ke Tha Bas Mein Woh Zulm Dhaya Giya.
Yahan Pe Ghair Ke Tishna Dahan Ko Laya Giya.
Gira Kahan Yahan Mazloom Ko Giraya Giya.
Ajeeb Haal Mein Dekha Tha Shah Ko Maa Ne.
Na Maut Atti Thi Na Sans Itne Zakhmi The.
Issi Maqam Pa Zahra Ne Apne Baite Ke.
Badan Se Teer Nikale The Apne Hatho Se.
Yahin Pa Shimar Ne Socha Ho Kaise Andaza.
Keh Mar Giya Hai Ya Zindah Hai Dilbar-e-Zahra.
Khaiyam Loot Lo Zainab Ke Di Phir Oss Ne Sada.
Tarap Ke Uthe The Zainab Ke Naam Par Maula.
Ali Ke Lal Ki Aankhon Mein Tha Wohi Manzar.
Gire The Jis Jagah Barchi Ke Waar Se Akbar.
Jawan Lal Ko Rone Ki Arzo Le Kar.
Yahin Se Ghutniyo Chalte Howay Gaye Sarwar.
Chale The Ghutniyo Akbar Ki Lash Tak Maula.
Yahan Se Agay :TAKALLUM: Biyan Kya Ho Bhala.
Ghareeb Kaise Bhala Qatal Gah Tak Pohancha.
Yahin Se Zulfein Pakar Kar Laein Le Ke Chala.
Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khuwan: :Mir Hasan Mir:
Noha Volume: :Mir Hasan Mir 2015-16:
#MaqameSahibAzZaman
#NohayLyrics
#tajpoint
New Noha Maqam-e-Sahib Az-Zaman Hai Yeh