Naam Asghar Hai Mera Main Ali Ka Hoon Ali Lyrics Urdu 2010
Naam Asghar Hai Mera Main Ali Ka Hoon Ali Mukhtar Hussain Fatehpuri.
Hurmala Tujh Ko Batata Hoon Main Oqaat Teri.
Fakhar-e-Khursheed Hoon Main Khak Ka Paiwand Nahi
Ibn-e-Shabir Sin-o-Saal Ka Paband Nahi.
Abhi Maqtal Mein Rolaye Gi Tujhe Meri Hansi.
Tu Samajhta Hai Keh Pani Ki Zarorat Hai Mujhe.
Sahib-e-Amar Ka Beta Hoon Khabar Bhi Hai Tujhe.
Main Jo Chahoon Abhi Lag Jaye Gi Sawan Ki Jahri.
Aaj Se Jang Ke Dastoor Badal Jaein Gay Hum.
Faisla Saaf Yeh Likhein Gay Morikh Ke Qalam.
Haar Kar Jeet Meri Jeet Hoi Haar Teri.
Hashar Se Pehle Sama Hashar Ka Ho Jaye Abhi.
Zindagi Moat Ki Aagosh Mei So Jaye Abhi.
Band Konain Ki Taqdeer Hai Muthi Mein Meri.
Zoor Dadad Ka Dikhane Ki Zarorat Kya Hai.
Mujh Ko Talwar Uthane Ki Zarorat Kya Hai.
Main Isharah Kar Do Ho Abhi Har Aik Shaqi.
Sham Walo Ke Muqadar Mein Andehra Kar Doon.
Muntazir Hai Wo Meri Koi Isharah Kar Doon.
Hath Bandeh Howay Khud Moat Hai Maqtal Mein Khari.
Meri Madar Ne Barhai Mere Larne Ki Umang.
Kabhi Khaibar Kabhi Khandaq Kabhi Safeen Ki Jang.
Cheh Mahine Mujhe Lori Mein Sunaya Hai Yehi.
Khandaan Ayse Kareemo Ka Kahan Our Bhala.
Apne Qatil Pe Karam Shewah-e-Aal-e-Zahra.
Hurmala Ja Tujhe Khairat Mein Shohrat De Di.
Do Jahan Ko Mera Paigham Suna Do Ja Kar.
Koi Rahib Koi Fitrus Abhi Baqi Hai Agar.
Mere Gehwarey Ke Nazdeek Chala Aaye Abhi.
Qowatein Shar Ki Hain Jitni Unhein Yakja Kar Le.
Kam Hain Nu Lakh Tu Ja Our Ikatha Kar Le.
Mill Ke Bhi Dono Jahan Mujh Se Na Jeetein Gaye Kabhi.
Chodah Sadiyon Se :TAKALLUM: Yeh Koi Kehta Hai.
Oss Ko Olaad Atta Ho Gi Mera Dawa Hai.
Sar Aqeedat Se Rakhe Tu Mere Jholay Pe Koi.
Manqabat Shehzadah Ali Asghar
Poet: :Mir Takallum Mir:
Manqabat Khowan: :Syed Mukhtar Hussain Fatehpuri:
Manqabat Volume: :Syed Mukhtar Hussain Fatehpuri 2010-11:
#NaamAsgharMera
#ManqabatLyrics
#tajpoint
New Manqabat Shehzada Ali Asghar Naam Asghar Hai Mera