Nigah-e-Ishq Mein Izat Maab Thi Hi Nahi Lyrics In Urdu 2017
Nigah e Ishq Mein Izat Maab Thi Hi Nahi.
Abu Turab Se Pehle Turab Thi Hi Nahi.
Kitab Parh Ke Sunai Ali Ne Bachpan Mein.
Kitab Wo Jo Bazahir Kitab Thi Hi Nahi.
Ali Ke Chahne Walon Ki Mazilein Hain Alag.
Sanwar Gayi Hai Jo Qismat Kharab Thi Hi Nahi.
Ali Ke Maston Ki Masti Mein Zindagi Guzri.
Kisi Ko Wehshat-e-Roz-e-Hisab Thi Hi Nahi.
Nashe Mein Hota Tu Zikar-e-Ali Pe Khush Hota.
Tere Pyale Mein Zahid Sharab Thi Hi Nahi.
Poet: :Faqeer Arif Imam:
#NigaheIshqMein
#ManqabatLyrics
#tajpoint